DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Waiting
Poetry Collection
Ash'aar
Mirza Ghalib
ham ne maana ki taghaful na karoge lekin khaak ho jaenge ham tum ko khabar hote tak...
Ahmad Faraz
muntazir kis ka hun TuTi hui dahliz pe main kaun aaega yahan kaun hai aane vaala...
Faiz Ahmad Faiz
vo aa rahe hain vo aate hain aa rahe honge shab-e-firaq ye kah kar guzar di ham ne...
Allama Iqbal
baagh-e-bahisht se mujhe hukm-e-safar diya tha kyun kar-e-jahan daraz hai ab mira intizar kar...
Jaun Elia
vo jo na aane vaala hai na us se mujh ko matlab tha aane valon se kya matlab aate hain aate honge...
Sahir Ludhianvi
ab aaen ya na aaen idhar puchhte chalo kya chahti hai un ki nazar puchhte chalo...
Firaq Gorakhpuri
tere aane ki kya umid magar kaise kah dun ki intizar nahin...
Amjad Islam Amjad
tum hi ne paanv na rakkha vagarna vasl ki shab zamin pe ham ne sitare bichha ke rakkhe the...
Kaifi Azmi
shab-e-intizar aakhir kabhi hogi mukhtasar bhi ye charagh bujh rahe hain mire saath jalte jalte...
Nasir Kazmi
so gae log us haveli ke ek khiDki magar khuli hai abhi...
Gulzar
kabhi to chaunk ke dekhe koi hamari taraf kisi ki aankh mein ham ko bhi intizar dikhe...
Noshi Gilani
jalae rakkhungi subh tak main tumhare raston mein apni aankhen magar kahin zabt TuuT jaae to barishen bhi shumar karna...
Farhat Ehsas
ik raat vo gaya tha jahan baat rok ke ab tak ruka hua hun vahin raat rok ke...
Muneer Niyazi
ye kaisa nashsha hai main kis ajab khumar mein hun tu aa ke ja bhi chuka hai main intizar mein hun...
Qamar Siddiqi
Teri raah takte takte aankhein pathra gayi hain Ab toh aa ja ke meri saansein bhi thak gayi hain...
Athar Aalam
Main jalta raha charagh sa teri raahon mein Aur teri nigah mein sirf andhera thehra hai...
Meena Kumari Naaz
Tere qadmon ki aahat ko ye dil hai dhoondta har dam Har ik aawaz par ik thartharahat hoti jaati hai...
Naseer Turabi
Main ik shajar ki tarah rah-guzar mein thahra hoon Thakan utaar ke tu kis taraf ravana hua...
Naseer Turabi
Shayad ye intizar ki lau faisla kare Main apne saath hoon ki darichon ke saath hoon...
Abdul Hamid Adam
kabhi to dair-o-haram se tu aayega wapas main mai-kade mein tera intezar kar loonga...
Adil Mansuri
kab se tahal rahe hain gareban khol kar khaali ghata ko kya karein barsaat bhi to ho...
Adil Mansuri
hudud-e-waqt se baahar ajab hisar mein hoon main ek lamha hoon sadiyon ke intezar mein hoon...
Ahmad Mushtaq
tire aane ka din hai tere raste mein bichhane ko chamakti dhoop mein saaye ikatthe kar raha hoon main...
Ahmad Mushtaq
jaane kis dam nikal aaye tire rukhsar ki dhoop muddaton dhyan tire saya-e-dar par rakkha...
Ahmad Nadeem Qasmi
andaz hu-ba-hu tiri aawaz-e-pa ka tha dekha nikal ke ghar se to jhonka hawa ka tha...
Khalilur Rahman Azmi
haaye wo log jin ke aane ka hashr tak intezar hota hai...
Khalilur Rahman Azmi
tiri sada ka hai sadiyon se intezar mujhe mire lahoo ke samundar zara pukaar mujhe...
Khumar Barabankavi
ab in hudud mein laaya hai intezar mujhe wo aa bhi jaayen to aaye na etibar mujhe...
Khumar Barabankavi
o jaane wale aa ki tire intezar mein raste ko ghar banaye zamane guzar gaye...
Mohammad Alvi
dekha na hoga tu ne magar intezar mein chalte hue samay ko thaharte hue bhi dekh...
Mohammad Alvi
gaadi aati hai lekin aati hi nahin rail ki patri dekh ke thak jaata hoon main...
Saleem Kausar
intezar aur dastakon ke darmiyan katti hai umr itni aasani se to baab-e-hunar khulta nahin...
Shad Azimabadi
kuchh aisa kar ki khuld aabad tak ai shad ja pahunchean abhi tak raah mein wo kar rahe hain intezar apna...
Nazeer Akbarabadi
tu jo kal aane ko kahta hai 'nazeer' tujh ko maaloom hai kal kya hoga...
Nazeer Akbarabadi
muntazir us ke dila ta-ba-kuja baithna shaam hui ab chalo subh phir aa baithna...
Ismail Merathi
haan dil-e-be-taab chande intezar amn-o-rahat ka thikana aur hai...
Aziz Bano Darab Wafa
mere andar koi takta raha rasta us ka main hamesha ke liye rah gayi chilman ban ke...
Explore more on Diwan E Sukhan