DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Wind

Poetry Collection

Ash'aar

Jaun Elia
rahn sarshari-e-faza ke hain aaj ke baad ham hava ke hain...
Dagh Dehlvi
ye sair hai ki dupaTTa uDa rahi hai hava chhupate hain jo vo siina kamar nahin chhupti...
Nida Fazli
rishton ka e'tibar vafaon ka intizar ham bhi charagh le ke havaon mein aae hain...
Kishwar Naheed
ye zindagi jise DhunDa tha aasmanon mein hava ke haath pe likkhi hui ibarat thi...
Noshi Gilani
zom kitna karte ho ik charagh par apne aur hava ke chalne mein der kitni lagti hai...
Adil Mansuri
darwaza band dekh ke mere makan ka jhonka hawa ka khidki ke parde hila gaya...
Ahmad Nadeem Qasmi
andaz hu-ba-hu tiri aawaz-e-pa ka tha dekha nikal ke ghar se to jhonka hawa ka tha...
Irfan Siddiqi
ret par thak ke gira hoon to hawa poochhti hai aap is dasht mein kyun aaye the wahshat ke baghair...
Irfan Siddiqi
hamein to khair bikharna hi tha kabhi na kabhi hawa-e-taza ka jhonka bahana ho gaya hai...
Irfan Siddiqi
hawa-e-koofa-e-na-mehrban ko hairat hai ki log khema-e-sabr-o-raza mein zinda hain...
Irfan Siddiqi
ai parindo yaad karti hai tumhein pagal hawa roz ik nauha sar-e-shakh shajar sunta hoon main...
Khumar Barabankavi
na haara hai ishq aur na duniya thaki hai diya jal raha hai hawa chal rahi hai...
Mohammad Alvi
aag apne hi laga sakte hain ghair to sirf hawa dete hain...
Mohammad Alvi
roz kahta hai hawa ka jhonka aa tujhe door uda le jaun...
Mohammad Alvi
ik diya der se jalta hoga saath thodi si hawa le jaun...
Rajinder Manchanda Bani
udaas shaam ki yaadon bhari sulagti hawa hamein phir aaj purane dayar le aayi...
Rajinder Manchanda Bani
is qadar khaali hua baitha hoon apni zaat mein koi jhonka aayega jaane kidhar le jayega...
Rajinder Manchanda Bani
na jaane kal hon kahan saath ab hawa ke hain ki ham parinde maqamat-e-gum-shuda ke hain...
Rajinder Manchanda Bani
mire waste jaane kya layegi gayi hai hawa ik khandar ki taraf...
Rajinder Manchanda Bani
thi paanv mein koi zanjeer bach gaye warna ram-e-hawa ka tamasha yahan raha hai bahut...
Rajinder Manchanda Bani
qadam zameen pe na the raah ham badalte kya hawa bandhi thi yahan peeth par sambhalte kya...
Saqi Faruqi
dil hi ayyar hai be-wajh dhadak uthta hai warna afsurda hawaon mein bulawa kaisa...
Shakeb Jalali
na itni tez chale sar-phiri hawa se kaho shajar pe ek hi patta dikhai deta hai...
Shakeb Jalali
pyaar ki jot se ghar ghar hai charaghan warna ek bhi shama na raushan ho hawa ke dar se...
Yagana Changezi
rang badla phir hawa ka mai-kashon ke din phire phir chali baad-e-saba phir mai-kade ka dar khula...
Yagana Changezi
watan se kya ki hawa-e-watan se hain bezar lipat rahe jo bagoolon se dasht-e-ghurbat ke...
Ismail Merathi
hai aaj rukh hawa ka muafiq to chal nikal kal ki kise khabar hai kidhar ki hawa chale...
Aziz Bano Darab Wafa
chaman pe bas na chala warna ye chaman wale hawayen bechte neelam rang-o-boo karte...
Explore more on Diwan E Sukhan