DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Zahid

Poetry Collection

Ash'aar

Allama Iqbal
ye jannat mubarak rahe zahidon ko ki main aap ka samna chahta hun...
Jaun Elia
khuda se le liya jannat ka vaada ye zahid to baDe hi ghaag nikle...
Dagh Dehlvi
lutf-e-mai tujh se kya kahun zahid haae kam-bakht tu ne pi hi nahin...
Meer Anees
tu sarapa ajr ai zahid main sar-ta-pa gunah bagh-e-jannat teri khatir karbala mere liye...
Siraj Aurangabadi
kyunki hove zahid khud-bin murid-e-zulf-e-yaar us ne saari umr mein zunnar kun dekha na tha...
Khwaja Meer Dard
na rah jaave kahin tu zahida mahrum rahmat se gunahgaron mein samjha kariyo apni be-gunahi ko...
Mohammad Rafi Sauda
gar ho sharab o khalvat o mahbub-e-khub-ru zahid qasam hai tujh ko jo tu ho to kya kare...
Mohammad Rafi Sauda
zahid sabhi hain neamat-e-haq jo hai akl-o-shurb lekin ajab maza hai sharab o kabab ka...
Shaikh Ibrahim Zauq
zahid sharab piine se kafir hua main kyun kya deDh chullu paani mein iman bah gaya...
Saghar Siddiqui
hooron ki talab aur mai o saghar se hai nafrat zahid tire irfan se kuchh bhool hui hai...
Nazeer Akbarabadi
door-az-tariq mujh ko samajhiyo na zahida gar tu khuda-parast hai main but-parast hoon...
Explore more on Diwan E Sukhan