DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Aadmi
Poetry Collection
Ash'aar
Jaun Elia
sab se pur-amn vaqia ye hai aadmi aadmi ko bhul gaya...
Akbar Allahabadi
puchha akbar hai aadmi kaisa hans ke bole vo aadmi hi nahin...
Jigar Moradabadi
aadmi aadmi se milta hai dil magar kam kisi se milta hai...
Bashir Badr
yahan libas ki qimat hai aadmi ki nahin mujhe gilas baDe de sharab kam kar de...
Bashir Badr
isi liye to yahan ab bhi ajnabi hun main tamam log farishte hain aadmi hun main...
Nida Fazli
har aadmi mein hote hain das biis aadmi jis ko bhi dekhna ho kai baar dekhna...
Nida Fazli
girja mein mandiron mein azanon mein baT gaya hote hi subh aadmi khanon mein baT gaya...
Nida Fazli
khush-haal ghar sharif tabiat sabhi ka dost vo shakhs tha ziyada magar aadmi tha kam...
Gulzar
vaqt rahta nahin kahin Tik kar aadat is ki bhi aadmi si hai...
Altaf Hussain Hali
jaanvar aadmi farishta khuda aadmi ki hain saikaDon qismein...
Bahadur Shah Zafar
zafar aadmi us ko na jaaniyega vo ho kaisa hi sahab-e-fahm-o-zaka jise aish mein yaad-e-khuda na rahi jise taish mein khauf-e-khuda na raha...
Adil Mansuri
wo kaun tha jo din ke ujale mein kho gaya ye chaand kis ko dhoondne nikla hai shaam se...
Saghar Siddiqui
main aadmi hoon koi farishta nahin huzoor main aaj apni zaat se ghabra ke pee gaya...
Ghazalein
Bas-ki Dushwar Hai Har Kaam Ka Aasan Hona
(Mirza Ghalib)
Sar Mein Sauda Bhi Nahin Dil Mein Tamanna Bhi Nahin
(Firaq Gorakhpuri)
Explore more on Diwan E Sukhan