DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Barish
Poetry Collection
Ash'aar
Parveen Shakir
ab bhi barsaat ki raaton mein badan TuuTta hai jaag uThti hain ajab khvahishen angDaai ki...
Hasrat Mohani
barsaat ke aate hi tauba na rahi baaqi baadal jo nazar aae badli meri niyat bhi...
Amjad Islam Amjad
jaise baarish se dhule sehn-e-gulistan amjad aankh jab khushk hui aur bhi chehra chamka...
Qateel Shifai
duur tak chhae the baadal aur kahin saaya na tha is tarah barsaat ka mausam kabhi aaya na tha...
Nida Fazli
barsaat ka baadal to divana hai kya jaane kis raah se bachna hai kis chhat ko bhigona hai...
Nasir Kazmi
yaad aai vo pahli barish jab tujhe ek nazar dekha tha...
Mohsin Naqvi
ab ke barish mein to ye kar-e-ziyan hona hi tha apni kachchi bastiyon ko be-nishan hona hi tha...
Habib Jalib
aane vali barkha dekhen kya dikhlae aankhon ko ye barkha barsate din to bin piritam be-kaar gae...
Muneer Niyazi
ghaTa dekh kar khush huiin laDkiyan chhaton par khile phuul barsaat ke...
Dushyant Kumar
barsaat aa gai to darakne lagi zamin suukha macha rahi hai ye barish to dekhiye...
Shakeel Azmi
Khud ko itna bhi mat bachaya kar Barishen hon to bheeg jaya kar...
Sudarshan Faakir
Ham to samjhe the ki barsaat mein barsegi sharab Aayi barsaat to barsaat ne dil tod diya...
Abdul Hamid Adam
barish sharab-e-arsh hai ye soch kar 'adam' barish ke sab huruuf ko ulta ke pee gaya...
Mohammad Alvi
dhoop ne guzarish ki ek boond barish ki...
Mohammad Alvi
aur bazaar se kya le jaun pahli barish ka maza le jaun...
Rajinder Manchanda Bani
os se pyaas kahan bujhti hai moosla-dhaar baras meri jaan...
Ghazalein
Samne Us Ke Kabhi Uski Sataish Nahin Ki
(Ahmad Faraz)
Explore more on Diwan E Sukhan