DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Fragrance

Poetry Collection

Ash'aar

Bashir Badr
mohabbat ek khushbu hai hamesha saath chalti hai koi insan tanhai mein bhi tanha nahin rahta...
Munawwar Rana
ab aap ki marzi hai sambhalen na sambhalen khushbu ki tarah aap ke rumal mein ham hain...
Gulzar
khushbu jaise log mile afsane mein ek purana khat khola anjaane mein...
Ada Jafarey
ek aaina ru-ba-ru hai abhi us ki khushbu se guftugu hai abhi...
Ahmad Mushtaq
jis ki saanson se mahakte the dar-o-baam tire ai makan bol kahan ab wo makeen rahta hai...
Ahmad Nadeem Qasmi
aaghosh mein mahkoge dikhayi nahin doge tum nikhat-e-gulzar ho ham parda-e-shab hain...
Khalilur Rahman Azmi
aaj dooba hua khushbu mein hai pairahan-e-jaan ai saba kis ne ye poochha hai tira naam-o-nishan...
Mohammad Alvi
gul-daan mein gulab ki kaliyan mahak uthin kursi ne us ko dekh ke aaghosh wa kiya...
Mohammad Alvi
andheri raaton mein dekh lena dikhai degi badan ki khushbu...
Saghar Siddiqui
ye zulf-bar-dosh kaun aaya ye kis ki aahat se gul khile hain mahak rahi hai faza-e-hasti tamam aalam bahaar sa hai...
Saqi Faruqi
hadsa ye hai ki ham jaan na moattar kar paaye wo to khush-boo tha use yun bhi bikhar jaana tha...
Nazeer Akbarabadi
khuda ke waste gul ko na mere haath se lo mujhe boo aati hai is mein kisi badan ki si...
Aziz Bano Darab Wafa
chaman pe bas na chala warna ye chaman wale hawayen bechte neelam rang-o-boo karte...

Ghazalein

Explore more on Diwan E Sukhan