DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Izhaar

Poetry Collection

Ash'aar

Jaun Elia
kis se izhar-e-muddaa kije aap milte nahin hain kya kije...
Akbar Allahabadi
ishq ke izhar mein har-chand rusvai to hai par karun kya ab tabiat aap par aai to hai...
Josh Malihabadi
ek din kah lijiye jo kuchh hai dil mein aap ke ek din sun lijiye jo kuchh hamare dil mein hai...
Hasrat Mohani
husn-e-be-parva ko khud-bin o khud-ara kar diya kya kiya main ne ki izhar-e-tamanna kar diya...
Hasrat Mohani
kya bala thi ada-e-pursish-e-yaar mujh se izhar-e-muddaa na hua...
Hasrat Mohani
pursish-e-haal pe hai khatir-e-janan mail jurat-e-koshish-e-izhar kahan se laun...
Amjad Islam Amjad
daam-e-khushbu mein giraftar saba hai kab se lafz izhar ki uljhan mein paDa hai kab se...
Munawwar Rana
ishq hai to ishq ka izhar hona chahiye aap ko chehre se bhi bimar hona chahiye...
Bahadur Shah Zafar
haal-e-dil kyun kar karen apna bayan achchhi tarah ru-ba-ru un ke nahin chalti zaban achchhi tarah...
Farhat Ehsas
shairi ko mira izhar samajhta hai magar parda-e-sher uThana bhi nahin chahta hai...
Hafeez Jalandhari
dil sabhi kuchh zaban par laaya ik faqat arz-e-muddaa ke siva...
Ahmad Nadeem Qasmi
tujh se kis tarah main izhaar-e-tamanna karta lafz soojha to maani ne baghawat kar di...
Saleem Kausar
aur is se pahle ki saabit ho jurm-e-khamoshi ham apni raye ka izhaar karna chahte hain...

Ghazalein

Explore more on Diwan E Sukhan