DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Motivation
Poetry Collection
Ash'aar
Allama Iqbal
tu shahin hai parvaz hai kaam tera tire samne aasman aur bhi hain...
Jigar Moradabadi
jo tufanon mein palte ja rahe hain vahi duniya badalte ja rahe hain...
Rahat Indori
aankh mein paani rakho honTon pe chingari rakho zinda rahna hai to tarkiben bahut saari rakho...
Dushyant Kumar
kaise aakash mein surakh nahin ho sakta ek patthar to tabiat se uchhalo yaaro...
Jawad Sheikh
Agar wo karne pe aata to kuchh bhi kar jaata Ye soch mat ki akela sharar kya karta...
Shakeel Azmi
Haar ho jaati hai jab maan liya jaata hai Jeet tab hoti hai jab thaan liya jaata hai...
Shakeel Azmi
Jaane kaisa rishta hai rahguzar ka qadmon se Thak ke baith jaun to rasta bulata hai...
Nadim Nadeem
Par kate panchhiyon se poochhte ho Tum mein udne ka hausla hai kya...
Abdul Hamid Adam
badh ke toofan ko aaghosh mein le le apni doobne wale tire haath se sahil to gaya...
Adil Mansuri
mere toote hausle ke par nikalte dekh kar us ne deewaron ko apni aur ooncha kar diya...
Ahmad Nadeem Qasmi
zindagi shama ki manind jalata hoon 'nadeem' bujh to jaunga magar subah to kar jaunga...
Explore more on Diwan E Sukhan