DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Nature
Poetry Collection
Ash'aar
Meer Taqi Meer
patta patta buTa buTa haal hamara jaane hai jaane na jaane gul hi na jaane bagh to saara jaane hai...
Parveen Shakir
kuchh to tire mausam hi mujhe raas kam aae aur kuchh miri miTTi mein baghavat bhi bahut thi...
Josh Malihabadi
itna manus hun fitrat se kali jab chaTki jhuk ke main ne ye kaha mujh se kuchh irshad kiya?...
Amjad Islam Amjad
be-samar peDon ko chuumenge saba ke sabz lab dekh lena ye khizan be-dast-o-pa rah jaegi...
Kaleem Aajiz
baharon ki nazar mein phuul aur kanTe barabar hain mohabbat kya karenge dost dushman dekhne vaale...
Tehzeeb Hafi
Ped mujhe hasrat se dekha karte the Main jangal mein paani laya karta tha...
Nadim Nadeem
Badalte mausamon ka haath thame chalne walo Sukun pahunchayegi tum ko shajar-kari hamari...
Nadim Nadeem
Vahshat nahin hai raqs-e-masarrat hai dasht mein Pedon ki shakl mein ye mire char-su ho tum...
Adil Mansuri
khud-ba-khud shaakh lachak jayegi phal se bharpur to ho lene do...
Adil Mansuri
wo jaan-e-nau-bahar jidhar se guzar gaya pedon ne phool patton se rasta chhupa liya...
Ahmad Mushtaq
rone lagta hoon mohabbat mein to kahta hai koi kya tire ashkon se ye jangal hara ho jayega...
Ahmad Mushtaq
wahan salam ko aati hai nange paanv bahaar khile the phool jahan tere muskurane se...
Ahmad Mushtaq
faza-e-dil pe kahin chha na jaaye yaas ka rang kahan ho tum ki badalne laga hai ghaas ka rang...
Ahmad Nadeem Qasmi
main kashti mein akela to nahin hoon mire hamrah dariya ja raha hai...
Ahmad Nadeem Qasmi
shaam ko subh-e-chaman yaad aayi kis ki khushbu-e-badan yaad aayi...
Irfan Siddiqi
suna tha main ne ki fitrat khala ki dushman hai so wo badan miri tanhaiyon ko paat gaya...
Mohammad Alvi
dhoop ne guzarish ki ek boond barish ki...
Mohammad Alvi
ab to chup-chap shaam aati hai pahle chidiyon ke shor hote the...
Mohammad Alvi
hairan mat ho tairti machhli ko dekh kar paani mein raushni ko utarte hue bhi dekh...
Shakeb Jalali
na itni tez chale sar-phiri hawa se kaho shajar pe ek hi patta dikhai deta hai...
Shakeb Jalali
gale mila na kabhi chaand bakht aisa tha hara-bhara badan apna darakht aisa tha...
Ismail Merathi
hai ashk-o-aah raas hamare mizaj ko yaani pale hue isi aab-o-hawa ke hain...
Ghazalein
Teri Khushbu Ka Pata Karti Hai
(Parveen Shakir)
Explore more on Diwan E Sukhan