DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Regret

Poetry Collection

Ash'aar

Mirza Ghalib
ki mire qatl ke baad us ne jafa se tauba haae us zud-pasheman ka pasheman hona...
Meer Taqi Meer
dil vo nagar nahin ki phir aabad ho sake pachhtaoge suno ho ye basti ujaD kar...
Momin Khan Momin
vo aae hain pasheman laash par ab tujhe ai zindagi laun kahan se...
Dagh Dehlvi
aap pachhtaen nahin jaur se tauba na karen aap ke sar ki qasam dagh ka haal achchha hai...
Jigar Moradabadi
chashm pur-nam zulf aashufta nigahen be-qarar is pashemani ke sadqe main pashiman ho gaya...
Wasi Shah
pahle tujhe banaya bana kar miTa diya jitne bhi faisle kiye saare ghalat kiye...
Amjad Islam Amjad
qadam uTha hai to paanv tale zamin hi nahin safar ka ranj hamein khvahish-e-safar se hua...
Zehra Nigah
ye udasi ye phailte saae ham tujhe yaad kar ke pachhtae...
Jan Nisar Akhtar
muaaf kar na saki meri zindagi mujh ko vo ek lamha ki main tujh se tang aaya tha...
Shahryar
har taraf apne ko bikhra paoge aainon ko toD ke pachhtaoge...
Shahryar
raat ko din se milane ki havas thi ham ko kaam achchha na tha anjam bhi achchha na hua...
Mohammad Rafi Sauda
main ne tum ko dil diya aur tum ne mujhe rusva kiya main ne tum se kya kiya aur tum ne mujh se kya kiya...
Mohammad Rafi Sauda
samjhe the ham jo dost tujhe ai miyan ghalat tera nahin hai jurm hamara guman ghalat...
Muneer Niyazi
tha muneer aaghaz hi se rasta apna ghalat is ka andaza safar ki raigani se hua...
Abdul Hamid Adam
wo mile bhi to ik jhijhak si rahi kaash thodi si ham piye hote...
Abdul Hamid Adam
sawal kar ke main khud hi bahut pasheman hoon jawab de ke mujhe aur sharmsar na kar...
Abdul Hamid Adam
kaash main teri mulaqat ko khud hi aata toor par bhej ke moosa ko pasheman hoon main...
Khumar Barabankavi
kya jawani gayi janab-e-'khumar' kaise tauba ki baat yaad aayi...
Shad Azimabadi
hazar shukr main tere siwa kisi ka nahin hazar haif ki ab tak hua na tu mera...
Shakeb Jalali
sahil tamam ashk-e-nadamat se at gaya dariya se koi shakhs to pyasa palat gaya...
Shariq Kaifi
wo baat soch ke main jis ko muddaton jeeta bichhadte waqt batane ki kya zaroorat thi...
Nazeer Akbarabadi
jis kaam ko jahan mein tu aaya tha ai 'nazeer' khana-kharab tujh se wahi kaam rah gaya...
Nazeer Akbarabadi
shab ko aa kar wo phir gaya haihat kya isi raat ham ko sona tha...
Nazeer Akbarabadi
'nazeer' ab is nadamat se kahun kya fa-aha summa-aha summa-aha...
Explore more on Diwan E Sukhan