DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Romantic poetry
Poetry Collection
Ash'aar
Mirza Ghalib
niind us ki hai dimagh us ka hai raaten us ki hain teri zulfen jis ke baazu par pareshan ho gain...
Ahmad Faraz
suna hai us ke badan ki tarash aisi hai ki phuul apni qabaen katar ke dekhte hain...
Ahmad Faraz
bhari bahaar mein ik shakh par khila hai gulab ki jaise tu ne hatheli pe gaal rakkha hai...
Jaun Elia
tegh-bazi ka shauq apni jagah aap to qatl-e-aam kar rahe hain...
Jaun Elia
yaad aate hain moajaze apne aur us ke badan ka jaadu bhi...
Jaun Elia
tera khayal khvab khvab khalvat-e-jaan ki aab-o-tab jism-e-jamil-e-o-naujavan shaam-ba-khair shab-ba-khair...
Jaun Elia
aaj lab-e-guhar-fishan aap ne va nahin kiya tazkira-e-khajista-e-aab-o-hava nahin kiya...
Sahir Ludhianvi
un ke rukhsar pe Dhalke hue aansu tauba main ne shabnam ko bhi shoalon pe machalte dekha...
Sahir Ludhianvi
mere khvabon mein bhi tu mere khayalon mein bhi tu kaun si chiiz tujhe tujh se juda pesh karun...
Dagh Dehlvi
rah gae lakhon kaleja thaam kar aankh jis jaanib tumhaari uTh gai...
Jigar Moradabadi
hasin teri aankhen hasin tere aansu yahin Duub jaane ko ji chahta hai...
Jigar Moradabadi
vo the na mujh se duur na main un se duur tha aata na tha nazar to nazar ka qusur tha...
Hasrat Mohani
shaam ho ya ki sahar yaad unhin ki rakhni din ho ya raat hamein zikr unhin ka karna...
Qateel Shifai
tumhari be-rukhi ne laaj rakh li bada-khane ki tum aankhon se pila dete to paimane kahan jaate...
Nida Fazli
dil mein na ho jurat to mohabbat nahin milti khairat mein itni baDi daulat nahin milti...
Nida Fazli
hamara miir-ji se muttafiq hona hai na-mumkin uThana hai jo patthar ishq ka to halka bhaari kya...
Munawwar Rana
tamam jism ko aankhen bana ke raah tako tamam khel mohabbat mein intizar ka hai...
Munawwar Rana
har chehre mein aata hai nazar ek hi chehra lagta hai koi meri nazar baandhe hue hai...
Nasir Kazmi
ek dam us ke honT chuum liye ye mujhe baiThe baiThe kya sujhi...
Habib Jalib
jin ki yaadon se raushan hain meri aankhen dil kahta hai un ko bhi main yaad aata hun...
Jan Nisar Akhtar
maana ki rang rang tira pairahan bhi hai par is mein kuchh karishma-e-aks-e-badan bhi hai...
Dushyant Kumar
tu kisi rail si guzarti hai main kisi pul sa thartharata hun...
Dushyant Kumar
main jise oDhta bichhata hun vo ghazal aap ko sunata hun...
Meena Kumari Naaz
Aankhon ko dekhte hi bole Bin piye koi madhosh aaya...
Umair Najmi
Kisi gali mein kiraye pe ghar liya us ne Phir us gali mein gharon ke kiraye badhne lage...
Sudarshan Faakir
Teri aankhon mein ham ne kya dekha Kabhi qaatil kabhi khuda dekha...
Abdul Hamid Adam
kaun angdaai le raha hai 'adam' do jahan ladkhadaye jaate hain...
Abdul Hamid Adam
saqi zara nigaah mila kar to dekhna kambakht hosh mein to nahin aa gaya hoon main...
Abdul Hamid Adam
ya dupatta na lijiye sar par ya dupatta sambhal kar chaliye...
Abdul Hamid Adam
aap ik zahmat-e-nazar to karein kaun behosh ho nahin sakta...
Ghazalein
Ajab Apna Haal Hota Jo Visal-e-Yar Hota
(Dagh Dehlvi)
Explore more on Diwan E Sukhan