DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Romantic urdu

Poetry Collection

Ash'aar

Mirza Ghalib
is sadgi pe kaun na mar jaae ai khuda laDte hain aur haath mein talvar bhi nahin...
Ahmad Faraz
agar tumhari ana hi ka hai saval to phir chalo main haath baDhata hun dosti ke liye...
Faiz Ahmad Faiz
vo jab bhi karte hain is nutq o lab ki bakhiya-gari faza mein aur bhi naghme bikharne lagte hain...
Meer Taqi Meer
nazuki us ke lab ki kya kahiye pankhuDi ik gulab ki si hai...
Meer Taqi Meer
miir un niim-baaz aankhon mein saari masti sharab ki si hai...
Meer Taqi Meer
kahte to ho yun kahte yun kahte jo vo aata ye kahne ki baaten hain kuchh bhi na kaha jaata...
Allama Iqbal
tire ishq ki intiha chahta hun miri sadgi dekh kya chahta hun...
Allama Iqbal
sau sau umiden bandhti hai ik ik nigah par mujh ko na aise pyaar se dekha kare koi...
Jaun Elia
saari duniya ke gham hamare hain aur sitam ye ki ham tumhaare hain...
Jaun Elia
husn kahta tha chheDne vaale chheDna hi to bas nahin chhu bhi...
Parveen Shakir
yahi vo din the jab ik dusre ko paaya tha hamari saal-girah Thiik ab ke maah mein hai...
Momin Khan Momin
tum mire paas hote ho goya jab koi dusra nahin hota...
Momin Khan Momin
uljha hai panv yaar ka zulf-e-daraz mein lo aap apne daam mein sayyad aa gaya...
Momin Khan Momin
dushnam-e-yaar tab-e-hazin par giran nahin ai ham-nashin nazakat-e-aavaz dekhna...
Momin Khan Momin
dida-e-hairan ne tamasha kiya der talak vo mujhe dekha kiya...
Sahir Ludhianvi
milti hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhi hoti hai dilbaron ki inayat kabhi kabhi...
Sahir Ludhianvi
tum ne sirf chaha hai ham ne chhu ke dekhe hain pairahan ghaTaon ke jism barq-paron ke...
Dagh Dehlvi
rukh-e-raushan ke aage shama rakh kar vo ye kahte hain udhar jaata hai dekhen ya idhar parvana aata hai...
Dagh Dehlvi
iman ki to ye hai ki iman ab kahan kafir bana gai tiri kafir-nazar mujhe...
Akbar Allahabadi
haya se sar jhuka lena ada se muskura dena hasinon ko bhi kitna sahl hai bijli gira dena...
Akbar Allahabadi
javani ki hai aamad sharm se jhuk sakti hain aankhen magar siine ka fitna ruk nahin sakta ubharne se...
Akbar Allahabadi
tiri zulfon mein dil uljha hua hai bala ke pech mein aaya hua hai...
Josh Malihabadi
ek din kah lijiye jo kuchh hai dil mein aap ke ek din sun lijiye jo kuchh hamare dil mein hai...
Josh Malihabadi
ham gae the us se karne shikva-e-dard-e-firaq muskura kar us ne dekha sab gila jaata raha...
Jigar Moradabadi
dil mein kisi ke raah kiye ja raha hun main kitna hasin gunah kiye ja raha hun main...
Jigar Moradabadi
donon hathon se luTti hai hamein kitni zalim hai teri angDai...
Jigar Moradabadi
hamein maalum hai ham se suno mahshar mein kya hoga sab us ko dekhte honge vo ham ko dekhta hoga...
Hasrat Mohani
chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai ham ko ab tak aashiqi ka vo zamana yaad hai...
Bashir Badr
ujale apni yaadon ke hamare saath rahne do na jaane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaae...
Bashir Badr
main jab so jaun in aankhon pe apne honT rakh dena yaqin aa jaega palkon tale bhi dil dhaDakta hai...
Bashir Badr
tiri aarzu tiri justuju mein bhaTak raha tha gali gali miri dastan tiri zulf hai jo bikhar bikhar ke sanvar gai...
Amjad Islam Amjad
yun to har raat chamakte hain sitare lekin vasl ki raat bahut subh ka taara chamka...
Kaifi Azmi
jhuki jhuki si nazar be-qarar hai ki nahin daba daba sa sahi dil mein pyaar hai ki nahin...
Qateel Shifai
kuchh kah rahi hain aap ke siine ki dhaDkanen mera nahin to dil ka kaha maan jaiye...
Qateel Shifai
husn ko chaand javani ko kanval kahte hain un ki surat nazar aae to ghazal kahte hain...
Munawwar Rana
tumhaari aankhon ki tauhin hai zara socho tumhaara chahne vaala sharab piita hai...
Shakeel Badayuni
tum phir usi ada se angDai le ke hans do aa jaega palaT kar guzra hua zamana...
Nasir Kazmi
dil dhaDakne ka sabab yaad aaya vo tiri yaad thi ab yaad aaya...
Nasir Kazmi
girafta-dil hain bahut aaj tere divane khuda kare koi tere siva na pahchane...
Mohsin Naqvi
kaun si baat hai tum mein aisi itne achchhe kyun lagte ho...
Gulzar
khamoshi ka hasil bhi ik lambi si khamoshi thi un ki baat suni bhi ham ne apni baat sunai bhi...
Habib Jalib
chhoD is baat ko ai dost ki tujh se pahle ham ne kis kis ko khayalon mein basae rakkha...
Zehra Nigah
naqsh ki tarah ubharna bhi tumhi se sikha rafta rafta nazar aana bhi tumhi se sikha...
Ada Jafarey
haath kanTon se kar liye zakhmi phuul baalon mein ik sajane ko...
Jan Nisar Akhtar
dekhun tire hathon ko to lagta hai tire haath mandir mein faqat diip jalane ke liye hain...
Asrarul Haq Majaz
kuchh tumhaari nigah kafir thi kuchh mujhe bhi kharab hona tha...
Siraj Aurangabadi
tumhaari zulf ka har taar mohan hua mere gale ka haar mohan...
Siraj Aurangabadi
hamari baat mohabbat sin tum jo gosh karo to apni prem kahani tumhein sunaunga...
Mohammad Rafi Sauda
jab yaar ne uTha kar zulfon ke baal baandhe tab main ne apne dil mein lakhon khayal baandhe...
Arzoo Lakhnavi
puchha jo un se chaand nikalta hai kis tarah zulfon ko rukh pe Daal ke jhaTka diya ki yun...
Tehzeeb Hafi
Meri aankhon pe do muqaddas haath Ye andhera bhi raushni hai mujhe...
Tehzeeb Hafi
Us ki zaban mein itna asar hai ki nisf shab Wo raushni ki baat kare aur diya jale...
Tehzeeb Hafi
Dil mohabbat mein mubtala ho jaye Jo abhi tak na ho saka ho jaye...

Ghazalein

Explore more on Diwan E Sukhan