DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Sad reality urdu
Poetry Collection
Ash'aar
Mirza Ghalib
jala hai jism kahan dil bhi jal gaya hoga kuredte ho jo ab raakh justuju kya hai...
Ahmad Faraz
muntazir kis ka hun TuTi hui dahliz pe main kaun aaega yahan kaun hai aane vaala...
Faiz Ahmad Faiz
karo kaj jabin pe sar-e-kafan mire qatilon ko guman na ho ki ghurur-e-ishq ka bankpan pas-e-marg ham ne bhula diya...
Faiz Ahmad Faiz
har charagar ko charagari se gurez tha varna hamein jo dukh the bahut la-dava na the...
Meer Taqi Meer
ulTi ho gain sab tadbiren kuchh na dava ne kaam kiya dekha is bimari-e-dil ne aakhir kaam tamam kiya...
Meer Taqi Meer
jin jin ko tha ye ishq ka aazar mar gae aksar hamare saath ke bimar mar gae...
Meer Taqi Meer
jam gaya khuun kaf-e-qatil pe tira miir zi-bas un ne ro ro diya kal haath ko dhote dhote...
Jaun Elia
aur to kya tha bechne ke liye apni aankhon ke khvab beche hain...
Jaun Elia
ik ajab haal hai ki ab us ko yaad karna bhi bevafai hai...
Jaun Elia
aur kya chahti hai gardish-e-ayyam ki ham apna ghar bhul gae un ki gali bhul gae...
Jaun Elia
apne andar hansta hun main aur bahut sharmata hun khuun bhi thuka sach-much thuka aur ye sab chalaki thi...
Jaun Elia
hai vo bechargi ka haal ki ham har kisi ko salam kar rahe hain...
Jaun Elia
ab khaak uD rahi hai yahan intizar ki ai dil ye baam-o-dar kisi jaan-e-jahan ke the...
Jaun Elia
ab ki jab jaanana tum ko hai sabhi par etibar ab tumhein jaanana mujh par etibar aaya to kya...
Jaun Elia
socha hai ki ab kar-e-masiha na karenge vo khuun bhi thukega to parva na karenge...
Jaun Elia
siina dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun chikh chikh kar na gala chhil le koi...
Jaun Elia
ham-nafasan-e-vaza-dar mustamian-e-burd-bar ham to tumhaare vaste ek vabal ho gae...
Parveen Shakir
ham to samjhe the ki ik zakhm hai bhar jaega kya khabar thi ki rag-e-jaan mein utar jaega...
Parveen Shakir
kal raat jo indhan ke liye kaT ke gira hai chiDiyon ko bahut pyaar tha us buDhe shajar se...
Parveen Shakir
meri chadar to chhini thi shaam ki tanhai mein be-ridai ko miri phir de gaya tashhir kaun...
Momin Khan Momin
vo aae hain pasheman laash par ab tujhe ai zindagi laun kahan se...
Momin Khan Momin
Darta hun aasman se bijli na gir paDe sayyad ki nigah su-e-ashiyan nahin...
Momin Khan Momin
raaz-e-nihan zaban-e-aghyar tak na pahuncha kya ek bhi hamara khat yaar tak na pahuncha...
Momin Khan Momin
naseha dil mein to itna tu samajh apne ki ham laakh nadan hue kya tujh se bhi nadan honge...
Sahir Ludhianvi
gham aur khushi mein farq na mahsus ho jahan main dil ko us maqam pe laata chala gaya...
Sahir Ludhianvi
ham gham-zada hain laaen kahan se khushi ke giit denge vahi jo paenge is zindagi se ham...
Sahir Ludhianvi
kis darja dil-shikan the mohabbat ke haadse ham zindagi mein phir koi arman na kar sake...
Sahir Ludhianvi
aao ki aaj ghaur karen is saval par dekhe the ham ne jo vo hasin khvab kya hue...
Sahir Ludhianvi
jamhuriyat-navaz bashar-dost amn-khvah khud ko jo khud diye the vo alqab kya hue...
Firaq Gorakhpuri
kam se kam maut se aisi mujhe ummid nahin zindagi tu ne to dhoke pe diya hai dhoka...
Firaq Gorakhpuri
zindagi mein jo ik kami si hai ye zara si kami bahut hai miyan...
Firaq Gorakhpuri
mehrbani ko mohabbat nahin kahte ai dost aah ab mujh se tiri ranjish-e-beja bhi nahin...
Firaq Gorakhpuri
is daur mein zindagi bashar ki bimar ki raat ho gai hai...
Dagh Dehlvi
vafa karenge nibahenge baat manenge tumhein bhi yaad hai kuchh ye kalam kis ka tha...
Dagh Dehlvi
na jaana ki duniya se jaata hai koi bahut der ki mehrban aate aate...
Dagh Dehlvi
saqiya tishnagi ki taab nahin zahr de de agar sharab nahin...
Dagh Dehlvi
na rona hai tariqe ka na hansna hai saliqa ka pareshani mein koi kaam ji se ho nahin sakta...
Akbar Allahabadi
puchha akbar hai aadmi kaisa hans ke bole vo aadmi hi nahin...
Akbar Allahabadi
maut aai ishq mein to hamein niind aa gai nikli badan se jaan to kanTa nikal gaya...
Akbar Allahabadi
is gulistan mein bahut kaliyan mujhe taDpa gain kyun lagi thin shaakh mein kyun be-khile murjha gain...
Akbar Allahabadi
haadse apne tariqon se guzarte hi rahe kyon hua aisa ye ham tahqiq karte hi rahe...
Josh Malihabadi
mujh ko to hosh nahin tum ko khabar ho shayad log kahte hain ki tum ne mujhe barbad kiya...
Josh Malihabadi
jitne gada-navaz the kab ke guzar chuke ab kyun bichhae baiThe hain ham boriya na puchh...
Josh Malihabadi
haan kaun puchhta hai khushi ka nahufta raaz phir gham ka baar dil pe uThae hue hain ham...
Meer Anees
tamam umr jo ki ham se be-rukhi sab ne kafan mein ham bhi azizon se munh chhupa ke chale...
Meer Anees
anis dam ka bharosa nahin Thahar jao charagh le ke kahan samne hava ke chale...
Jigar Moradabadi
aaghaz-e-mohabbat ka anjam bas itna hai jab dil mein tamanna thi ab dil hi tamanna hai...
Jigar Moradabadi
bahut hasin sahi sohbaten gulon ki magar vo zindagi hai jo kanTon ke darmiyan guzre...
Jigar Moradabadi
maut kya ek lafz-e-be-maani jis ko maara hayat ne maara...
Jigar Moradabadi
dil ko sukun ruuh ko aaram aa gaya maut aa gai ki dost ka paigham aa gaya...
Jigar Moradabadi
laakh aaftab paas se ho kar guzar gae ham baiThe intizar-e-sahar dekhte rahe...
Jigar Moradabadi
vahi hai zindagi lekin jigar ye haal hai apna ki jaise zindagi se zindagi kam hoti jaati hai...
Hasrat Mohani
aarzu teri barqarar rahe dil ka kya hai raha raha na raha...
Hasrat Mohani
kaT gai ehtiyat-e-ishq mein umr ham se izhar-e-muddaa na hua...
Hasrat Mohani
gham-e-aarzu ka hasrat sabab aur kya bataun miri himmaton ki pasti mire shauq ki bulandi...
Hasrat Mohani
sabhi kuchh ho chuka un ka hamara kya raha hasrat na diin apna na dil apna na jaan apni na tan apna...
Hasrat Mohani
khu samajh mein nahin aati tire divanon ki damanon ki na khabar hai na girebanon ki...
Hasrat Mohani
raat din nama-o-paigham kahan tak doge saaf kah dijiye milna hamein manzur nahin...
Bashir Badr
kuchh to majburiyan rahi hongi yun koi bevafa nahin hota...
Bashir Badr
har dhaDakte patthar ko log dil samajhte hain umren biit jaati hain dil ko dil banane mein...
Bashir Badr
log TuuT jaate hain ek ghar banane mein tum taras nahin khate bastiyan jalane mein...
Bashir Badr
rone valon ne uTha rakkha tha ghar sar par magar umr bhar ka jagne vala paDa sota raha...
Bashir Badr
isi shahr mein kai saal se mire kuchh qaribi aziz hain unhein meri koi khabar nahin mujhe un ka koi pata nahin...
Bashir Badr
dil ki basti purani dilli hai jo bhi guzra hai us ne luuTa hai...
Bashir Badr
hai ajiib shahr ki zindagi na safar raha na qayam hai kahin karobar si dopahar kahin bad-mizaj si shaam hai...
Bashir Badr
achchha tumhaare shahar ka dastur ho gaya jis ko gale laga liya vo duur ho gaya...
Bashir Badr
tum abhi shahr mein kya nae aae ho ruk gae raah mein hadsa dekh kar...
Bashir Badr
vo jin ke zikr se ragon mein dauDti thiin bijliyan unhin ka haath ham ne chhu ke dekha kitna sard hai...
Wasi Shah
zindagi ab ke mera naam na shamil karna gar ye tai hai ki yahi khel dobara hoga...
Amjad Islam Amjad
vo tire nasib ki baarishen kisi aur chhat pe baras gain dil-e-be-khabar miri baat sun use bhuul ja use bhuul ja...
Amjad Islam Amjad
likha tha ek takhti par koi bhi phuul mat toDe magar aandhi to an-paDh thi so jab vo baagh se guzri koi ukhDa koi TuuTa khizan ke aakhiri din the...
Amjad Islam Amjad
aankh bhi apni sarab-aalud hai aur is dariya mein paani bhi nahin...
Amjad Islam Amjad
vo samne hai phir bhi dikhai na de sake mere aur us ke biich ye divar kaun hai...
Kaifi Azmi
rahne ko sada dahr mein aata nahin koi tum jaise gae aise bhi jaata nahin koi...
Kaifi Azmi
jis tarah hans raha hun main pi pi ke garm ashk yun dusra hanse to kaleja nikal paDe...
Kaifi Azmi
itna to zindagi mein kisi ke khalal paDe hansne se ho sukun na rone se kal paDe...
Kaifi Azmi
jo vo mire na rahe main bhi kab kisi ka raha bichhaD ke un se saliqa na zindagi ka raha...
Kaifi Azmi
ik khvab khushi ka dekha nahin dekha jo kabhi to bhuul gae manga hua tum kuchh de na sake jo tum ne diya vo sahne do...
Rahat Indori
ghar ke baahar dhunDta rahta hun duniya ghar ke andar duniya-daari rahti hai...
Rahat Indori
ab to har haath ka patthar hamein pahchanta hai umr guzri hai tire shahr mein aate jaate...
Rahat Indori
main aa kar dushmanon mein bas gaya hun yahan hamdard hain do-chaar mere...
Rahat Indori
yahan lachhman ki rekha hai na sita hai magar phir bhi bahut phere hamare ghar ke ik sadhu lagata hai...
Qateel Shifai
tum puchho aur main na bataun aise to haalat nahin ek zara sa dil TuuTa hai aur to koi baat nahin...
Qateel Shifai
jis barahman ne kaha hai ki ye saal achchha hai us ko dafnao mire haath ki rekhaon mein...
Qateel Shifai
kya maslahat-shanas tha vo aadmi qateel majburiyon ka jis ne vafa naam rakh diya...
Qateel Shifai
subut-e-ishq ki ye bhi to ek surat hai ki jis se pyaar karen us pe tohmaten bhi dharen...
Qateel Shifai
ba-paas-e-dil jise apne labon se bhi chhupaya tha mira vo raaz tere hijr ne pahuncha diya sab tak...
Nida Fazli
kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta kahin zamin kahin aasman nahin milta...
Nida Fazli
apni marzi se kahan apne safar ke ham hain rukh havaon ka jidhar ka hai udhar ke ham hain...
Nida Fazli
badla na apne-aap ko jo the vahi rahe milte rahe sabhi se magar ajnabi rahe...
Nida Fazli
vahi hamesha ka aalam hai kya kiya jaae jahan se dekhiye kuchh kam hai kya kiya jaae...
Munawwar Rana
barbad kar diya hamein pardes ne magar maan sab se kah rahi hai ki beTa maze mein hai...
Munawwar Rana
daulat se mohabbat to nahin thi mujhe lekin bachchon ne khilaunon ki taraf dekh liya tha...
Munawwar Rana
bhaTakti hai havas din-raat sone ki dukanon mein gharibi kaan chhidvati hai tinka Daal deti hai...
Munawwar Rana
pachpan baras ki umr to hone ko aa gai lekin vo chehra aankhon se ojhal na ho saka...
Shakeel Badayuni
mere ham-nafas mere ham-nava mujhe dost ban ke dagha na de main hun dard-e-ishq se jaan-ba-lab mujhe zindagi ki dua na de...
Shakeel Badayuni
vo hava de rahe hain daaman ki haae kis vaqt niind aai hai...
Shakeel Badayuni
gham-e-umr-e-mukhtasar se abhi be-khabar hain kaliyan na chaman mein phenk dena kisi phuul ko masal kar...
Nasir Kazmi
daaem aabad rahegi duniya ham na honge koi ham sa hoga...
Nasir Kazmi
bhari duniya mein ji nahin lagta jaane kis chiiz ki kami hai abhi...
Nasir Kazmi
jinhein ham dekh kar jiite the nasir vo log aankhon se ojhal ho gae hain...
Nasir Kazmi
yun to har shakhs akela hai bhari duniya mein phir bhi har dil ke muqaddar mein nahin tanhai...
Nasir Kazmi
zindagi jin ke tasavvur se jila paati thi haae kya log the jo daam-e-ajal mein aae...
Nasir Kazmi
muddat se koi aaya na gaya sunsan paDi hai ghar ki faza in khaali kamron mein nasir ab shama jalaun kis ke liye...
Nasir Kazmi
o pichhli rut ke saathi ab ke baras main tanha hun...
Nasir Kazmi
tire baghair bhi khaali nahin miri raaten hai ek saaya mire saath ham-nashin ki tarah...
Mohsin Naqvi
vo aksar din mein bachchon ko sula deti hai is Dar se gali mein phir khilaune bechne vaala na aa jaae...
Gulzar
zindagi yun hui basar tanha qafila saath aur safar tanha...
Gulzar
apne saae se chaunk jaate hain umr guzri hai is qadar tanha...
Gulzar
vo ek din ek ajnabi ko miri kahani suna raha tha...
Gulzar
go barasti nahin sada aankhen abr to baara maas hota hai...
Gulzar
kanch ke paar tire haath nazar aate hain kaash khushbu ki tarah rang hina ka hota...
Habib Jalib
dushmanon ne jo dushmani ki hai doston ne bhi kya kami ki hai...
Habib Jalib
ik umr sunaen to hikayat na ho puuri do roz mein ham par jo yahan biit gai hai...
Ibn-e-Insha
kab lauTa hai bahta paani bichhDa sajan ruuTha dost ham ne us ko apna jaana jab tak haath mein daman tha...
Ibn-e-Insha
ham ghuum chuke basti ban mein ik aas ki phaans liye man mein...
Ibn-e-Insha
ek din dekhne ko aa jaate ye havas umr bhar nahin hoti...
Ibn-e-Insha
janam janam ke saaton dukh hain us ke maathe par tahrir apna aap miTana hoga ye tahrir miTane mein...
Ibn-e-Insha
gham-e-ishq mein kaari dava na dua ye hai rog kaThin ye hai dard bura ham karte jo apne se ho sakta kabhi ham se bhi kuchh na kaha tum ne...
Altaf Hussain Hali
yaran-e-tez-gaam ne mahmil ko ja liya ham mahv-e-nala-e-jaras-e-karvan rahe...
Altaf Hussain Hali
gul-o-gulchin ka gila bulbul-e-khush-lahja na kar tu giraftar hui apni sada ke baais...
Zehra Nigah
ab is ghar ki aabadi mehmanon par hai koi aa jaae to vaqt guzar jaata hai...
Zehra Nigah
kahan ke ishq-o-mohabbat kidhar ke hijr o visal abhi to log taraste hain zindagi ke liye...
Zehra Nigah
ham se baDhi masafat-e-dasht-e-vafa ki ham khud hi bhaTak gae jo kabhi rasta mila...
Zehra Nigah
saaten jo tiri qurbat mein giran guzri thiin duur se dekhun to ab vo bhi bhali lagti hain...
Ada Jafarey
hamare shahr ke logon ka ab ahval itna hai kabhi akhbar paDh lena kabhi akhbar ho jaana...
Ada Jafarey
log be-mehr na hote honge vahm sa dil ko hua tha shayad...
Ada Jafarey
mata-e-dard parakhna to bas ki baat nahin jo tujh ko dekh ke aae vo ham ko pahchane...
Ada Jafarey
ummid ka gharaunda pal mein gira diya hai tujh ko bhi kya kisi ne dil se bhula diya hai...
Kishwar Naheed
kuchh yun hi zard zard si naheed aaj thi kuchh oDhni ka rang bhi khilta hua na tha...
Ameer Minai
hue namvar be-nishan kaise kaise zamin kha gai aasman kaise kaise...
Ameer Minai
shab-e-furqat ka jaaga hun farishto ab to sone do kabhi fursat mein kar lena hisab aahista aahista...
Ameer Minai
allah-re saadgi nahin itni unhein khabar mayyat pe aa ke puchhte hain in ko kya hua...
Ameer Minai
samajhta hun sabab kafir tire aansu nikalne ka dhuan lagta hai aankhon mein kisi ke dil ke jalne ka...
Ameer Minai
vaae qismat vo bhi kahte hain bura ham bure sab se hue jin ke liye...
Ameer Minai
pahle to mujhe kaha nikalo phir bole gharib hai bula lo...
Ameer Minai
ham jo pahunche to lab-e-gor se aai ye sada aaiye aaiye hazrat bahut aazad rahe...
Ameer Minai
nabz-e-bimar jo ai rashk-e-masiha dekhi aaj kya aap ne jaati hui duniya dekhi...
Ameer Minai
jab kahin do gaz zamin dekhi khudi samjha main gor jab nai do chaadaren dekhin kafan yaad aa gaya...
Daya Shankar Naseem
pahunchi na rahat ham se kisi ko balki aziyyat kosh hue zinda the to baar-e-shikam the mar ke vabal-e-dosh hue...
Asrarul Haq Majaz
sab ka to mudava kar Daala apna hi mudava kar na sake sab ke to gareban si Daale apna hi gareban bhuul gae...
Siraj Aurangabadi
nahin bujhti hai pyaas aansu sin lekin karen kya ab to yaan paani yahi hai...
Siraj Aurangabadi
mushtaq hun tujh lab ki fasahat ka va-lekin raanjha ke nasibon mein kahan hiir ki aavaz...
Siraj Aurangabadi
kya hoega sunoge agar kaan dhar ke tum guzri birah ki raat jo mujh par kahaniyan...
Wali Dakni
pi ke bairag ki udasi sun dil pe mere sada udasi hai...
Wali Dakni
mire dil ki tajalli kyon rahe poshida majlis mein zaiifi sun hua hai parda-e-fanus tan mera...
Shahryar
jab bhi milti hai mujhe ajnabi lagti kyun hai zindagi roz nae rang badalti kyun hai...
Shahryar
hai aaj ye gila ki akela hai shahryar tarsoge kal hujum mein tanhai ke liye...
Shahryar
bahut shor tha jab samaat gai bahut bhiiD thi jab akele hue...
Shahryar
kaghaz ki kashtiyan bhi bahut kaam aaengi jis din hamare shahr mein sailab aaega...
Shahryar
kahan tak vaqt ke dariya ko ham Thahra hua dekhen ye hasrat hai ki in aankhon se kuchh hota hua dekhen...
Shahryar
main akela sahi magar kab tak nangi parchhaiyon ke biich rahun...
Khwaja Meer Dard
zindagi hai ya koi tufan hai! ham to is jiine ke hathon mar chale...
Khwaja Meer Dard
ham tujh se kis havas ki falak justuju karen dil hi nahin raha hai jo kuchh aarzu karen...
Khwaja Meer Dard
aankhen bhi haae naza mein apni badal gaiin sach hai ki bekasi mein koi aashna nahin...
Khwaja Meer Dard
naala fariyad aah aur zaari aap se ho saka so kar dekha...
Khwaja Meer Dard
ham bhi jaras ki tarah to is qafile ke saath naale jo kuchh bisat mein the so suna chale...
Bahadur Shah Zafar
kitna hai bad-nasib zafar dafn ke liye do gaz zamin bhi na mili ku-e-yaar mein...
Bahadur Shah Zafar
na mujh ko kahne ki taqat kahun to kya ahval na us ko sunne ki fursat kahun to kis se kahun...
Bahadur Shah Zafar
gai yak-ba-yak jo hava palaT nahin dil ko mere qarar hai karun us sitam ko main kya bayan mira gham se sina figar hai...
Mohammad Rafi Sauda
tira khat aane se dil ko mere aaraam kya hoga khuda jaane ki is aaghaz ka anjaam kya hoga...
Mohammad Rafi Sauda
dil mat Tapak nazar se ki paaya na jaega jun ashk phir zamin se uThaya na jaega...
Mohammad Rafi Sauda
firaq-e-khuld se gandum hai sina-chaak ab tak ilahi ho na vatan se koi gharib juda...
Mohammad Rafi Sauda
sauda tiri fariyad se aankhon mein kaTi raat aai hai sahar hone ko tuk tu kahin mar bhi...
Mohammad Rafi Sauda
be-sabati zamane ki na-chaar karni mujh ko bayan paDti hai...
Mohammad Rafi Sauda
kahte تھے ham na dekh sakein roz-e-hijr ko par jo khuda dikhae so na-chaar dekhna...
Mohammad Rafi Sauda
na rakkha jag mein rasm-e-dostii andoh-rozii ne magar zaanu se ab baaqi raha hai rabt-e-peshaani...
Noshi Gilani
ye aarzu thi ki ham us ke saath saath chalen magar vo shakhs to rasta badalta jaata hai...
Kaleem Aajiz
na jaane ruuTh ke baiTha hai dil ka chain kahan mile to us ko hamara koi salam kahe...
Kaleem Aajiz
sunega kaun meri chaak-damani ka afsana yahan sab apne apne pairahan ki baat karte hain...
Kaleem Aajiz
uThte huon ko sab ne sahara diya kaleem girte hue gharib sambhale kahan gae...
Iftikhar Arif
duaen yaad kara di gai thiin bachpan mein so zakhm khate rahe aur dua diye gae ham...
Iftikhar Arif
ghar se nikle hue beTon ka muqaddar maalum maañ ke qadmon mein bhi jannat nahin milne vaali...
Iftikhar Arif
hua hai yun bhi ki ik umr apne ghar na gae ye jaante the koi raah dekhta hoga...
Iftikhar Arif
shagufta lafz likkhe ja rahe hain magar lahjon mein virani bahut hai...
Iftikhar Arif
jab 'miir' o 'mirza' ke sukhan raegan gae ik be-hunar ki baat na samjhi gai to kya...
Farhat Ehsas
hamein jab apna taaruf karana paDta hai na jaane kitne dukhon ko dabana paDta hai...
Farhat Ehsas
ishq mein piine ka paani bas aankh ka paani khane mein bas patthar khaae ja sakte the...
Farhat Ehsas
mujhe yaqin to bahut tha magar ghalat nikla ki aabla kabhi pa-posh mein nahin aata...
Farhat Ehsas
tu mujh ko jo is shahr mein laaya nahin hota main be-sar-o-saman kabhi rusva nahin hota...
Muneer Niyazi
chahta hun main muneer is umr ke anjaam par ek aisi zindagi jo is tarah mushkil na ho...
Muneer Niyazi
vo jis ko main samajhta raha kamyab din vo din tha meri umr ka sab se kharab din...
Muneer Niyazi
kuchh vaqt chahte the ki sochen tire liye tu ne vo vaqt ham ko zamane nahin diya...
Muneer Niyazi
rahna tha us ke saath bahut der tak magar in roz o shab mein mujh ko ye fursat nahin mili...
Muneer Niyazi
dil ajab mushkil mein hai ab asl raste ki taraf yaad pichhe khinchti hai aas aage ki taraf...
Muneer Niyazi
ham bhi muneer ab duniya-dari kar ke vaqt guzarenge hote hote jiine ke bhi laakh bahane aa jaate hain...
Muneer Niyazi
tanha ujaaD burjon mein phirta hai tu muneer vo zar-fishaniyan tire rukh ki kidhar gaiin...
Zafar Iqbal
raaste hain khule hue saare phir bhi ye zindagi ruki hui hai...
Zafar Iqbal
jab nazare the to aankhon ko nahin thi parva ab inhi aankhon ne chaaha to nazare nahin the...
Zafar Iqbal
apne hi samne divar bana baiTha hun hai ye anjam use raste se haTa dene ka...
Zafar Iqbal
is baar mili hai jo natije mein burai kaam aai hai apni koi achchhai hamare...
Zafar Iqbal
ik dhuup si tani hui baadal ke aar-paar ik pyaas hai ruki hui jharne ke bavajud...
Zafar Iqbal
khul ke ro bhi sakun aur hans bhi sakun ji bhar ke abhi itni bhi faraghat mein nahin rah sakta...
Zafar Iqbal
koi is baat ko taslim kare ya na kare subh ki sair ne mujh ko dil bimar diya...
Zafar Iqbal
aankhon mein raakh Daal ke nikla hun sair ko shakhon pe nachte hain sharar mere samne...
Zafar Iqbal
ye haal hai to badan ko bachaiye kab tak sada mein dhuup bahut hai lahu mein lu hai bahut...
Arzoo Lakhnavi
khizan ka bhes bana kar bahaar ne maara mujhe do-rangi-e-lail-o-nahar ne maara...
Arzoo Lakhnavi
vaae ghurbat ki hue jis ke liye khana-kharab sun ke aavaz bhi ghar se na vo baahar nikla...
Arzoo Lakhnavi
misal-e-shama apni aag mein kya aap jal jaun qisas-e-khamushi legi kahan tak ai zaban mujh se...
Arzoo Lakhnavi
nahin vo agli si raunaq dayar-e-hasti ki tabah-kun koi tufan tha shabab na tha...
Tehzeeb Hafi
Ye ek baat samajhne mein raat ho gayi hai Main us se jeet gaya hoon ki maat ho gai hai...
Tehzeeb Hafi
Is liye raushni mein thandak hai Kuchh charaghon ko nam kiya gaya hai...
Shaikh Ibrahim Zauq
phuul to do din bahaar-e-jaan-faza dikhla gae hasrat un ghunchon pe hai jo bin khile murjha gae...
Shaikh Ibrahim Zauq
vaqt-e-piri shabab ki baaten aisi hain jaise khvab ki baaten...
Shaikh Ibrahim Zauq
mazkur tiri bazm mein kis ka nahin aata par zikr hamara nahin aata nahin aata...
Majrooh Sultanpuri
koi ham-dam na raha koi sahaara na raha ham kisi ke na rahe koi hamara na raha...
Majrooh Sultanpuri
kuchh bata tu hi nasheman ka pata main to ai baad-e-saba bhuul gaya...
Majrooh Sultanpuri
gulon se bhi na hua jo mira pata dete saba uDati phiri khaak aashiyane ki...
Dushyant Kumar
lahu-luhan nazaron ka zikr aaya to sharif log uThe duur ja ke baiTh gae...
Dushyant Kumar
ye soch kar ki darakhton mein chhanv hoti hai yahan babul ke saae mein aa ke baiTh gae...
Makhdoom Mohiuddin
ham ne hans hans ke tiri bazm mein ai paikar-e-naaz kitni aahon ko chhupaya hai tujhe kya maalum...
Hafeez Jalandhari
ai 'hafiz' aah aah par aakhir kya kahen dost vaah va ke siva...
Hafeez Jalandhari
sunata hai kya hairat-angez qisse hasinon mein khoi ho jis ne javani...
Hafeez Jalandhari
khuda ko na taklif de Duubne mein kisi nakhuda ke sahaare chala chal...
Explore more on Diwan E Sukhan