DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Shama
Poetry Collection
Ash'aar
Ahmad Faraz
shikva-e-zulmat-e-shab se to kahin behtar tha apne hisse ki koi shama jalate jaate...
Dagh Dehlvi
rukh-e-raushan ke aage shama rakh kar vo ye kahte hain udhar jaata hai dekhen ya idhar parvana aata hai...
Qateel Shifai
shama jis aag mein jalti hai numaish ke liye ham usi aag mein gum-nam se jal jaate hain...
Siraj Aurangabadi
mat karo shama kun badnam jalati vo nahin aap sin shauq patangon ko hai jal jaane ka...
Khwaja Meer Dard
shama ke manind ham is bazm mein chashm-e-tar aae the daman-tar chale...
Shaikh Ibrahim Zauq
ai shama teri umr-e-tabii hai ek raat hans kar guzar ya ise ro kar guzar de...
Meena Kumari Naaz
Shama hoon phool hoon ya ret pe qadmon ka nishan Aap ko haq hai mujhe jo bhi jee chahe kah len...
Ahmad Nadeem Qasmi
zindagi shama ki manind jalata hoon 'nadeem' bujh to jaunga magar subah to kar jaunga...
Shad Azimabadi
parvanoan ka to hashr jo hona tha ho chuka guzri hai raat shama pe kya dekhte chalein...
Ismail Merathi
parwane ki tapish ne khuda jaane kaan mein kya kah diya ki shama ke sar se dhuan utha...
Explore more on Diwan E Sukhan