DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Sadness

Poetry Collection

Ash'aar

Ahmad Faraz
sab khvahishen puri hon faraz aisa nahin hai jaise kai ashaar mukammal nahin hote...
Faiz Ahmad Faiz
dil na-umid to nahin nakam hi to hai lambi hai gham ki shaam magar shaam hi to hai...
Jaun Elia
ho raha hun main kis tarah barbad dekhne vaale haath malte hain...
Amjad Islam Amjad
phir aaj kaise kaTegi pahaD jaisi raat guzar gaya hai yahi baat sochte hue din...
Kaleem Aajiz
ye kaisi bahaar-e-chaman aai ki chaman mein virana hi virana hai ta-hadd-e-nigah aaj...
Tehzeeb Hafi
Tera chup rehna mere zehan mein kya baith gaya Itni aawazein tujhe deen ke gala baith gaya...
Dushyant Kumar
paanv TuuTe hue nazar aae ek Thahra hua safar dekha...
Dushyant Kumar
kal to nikla tha bahut saj-dhaj ke aaj lauTa to niDhal aaya hai...
Abbas Qamar
Mere kamre mein udasi hai qayamat ki magar Ek tasveer purani si hansa karti hai...
Abbas Qamar
Khush hain to phir musafir-e-duniya nahin hain aap Is dasht mein bas aabla-pai hai roiye...
Nadim Nadeem
Ai mire dost mire saath tiri yaadon ki Ret itni hai hua jaata hai sahra chehra...
Nadim Nadeem
Daudti hanpti aayi thi udasi mujh tak Mere seene se lagi aur zara sustayi...
Nadim Nadeem
Aah ko saaz banate hain dukhon ki rut mein Dil-shikasta hain par aawaz sanbhale hue hain...
Abdul Hamid Adam
zindagi ke udaas lamhon mein bewafa dost yaad aate hain...
Abdul Hamid Adam
phir aaj adam shaam se ghamgeen hai tabiat phir aaj sar-e-shaam main kuchh soch raha hoon...
Adil Mansuri
koi khud-kushi ki taraf chal diya udasi ki mehnat thikane lagi...
Adil Mansuri
na koi rok saka khwab ke safeeron ko udaas kar gaye neendon ke rahgeeron ko...
Ahmad Mushtaq
rone lagta hoon mohabbat mein to kahta hai koi kya tire ashkon se ye jangal hara ho jayega...
Ahmad Mushtaq
hamara kya hai jo hota hai jee udaas bahut to gul tarashte hain titliyan banate hain...
Ahmad Mushtaq
chaand bhi nikla sitare bhi barabar nikle mujh se achchhe to shab-e-gham ke muqaddar nikle...
Ahmad Mushtaq
bahut udaas ho tum aur main bhi baitha hoon gaye dinon ki kamar se kamar lagaye hue...
Ahmad Nadeem Qasmi
aaj ki raat bhi tanha hi kati aaj ke din bhi andhera hoga...
Ahmad Nadeem Qasmi
kis dil se karun vidaa tujh ko toota jo sitara bujh gaya hai...
Mohammad Alvi
din dhal raha tha jab use dafna ke aaye the sooraj bhi tha malool zameen par jhuka hua...
Shad Azimabadi
khamoshi se musibat aur bhi sangeen hoti hai tadap ai dil tadapne se zara taskeen hoti hai...
Shad Azimabadi
lahad mein kyun na jaun munh chhupaye bhari mahfil se uthvaya gaya hoon...
Shad Azimabadi
jab kisi ne haal poochha ro diya chashm-e-tar tu ne to mujh ko kho diya...
Shad Azimabadi
bhare hon aankh mein aansoo khamida gardan ho to khamoshi ko bhi izhaar-e-muddaa kahiye...
Shakeb Jalali
bheegi hui ik shaam ki dahliz pe baithe ham dil ke sulagne ka sabab soch rahe hain...
Ismail Merathi
hai ashk-o-aah raas hamare mizaj ko yaani pale hue isi aab-o-hawa ke hain...
Ismail Merathi
gar dekhiye to khatir-e-nashad shad hai sach poochhiye to hai dil-e-nakaam kaam ka...
Aziz Bano Darab Wafa
main jab bhi us ki udaasi se uub jaungi to yun hansega ki mujh ko udaas kar dega...

Ghazalein

Explore more on Diwan E Sukhan