DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Yaad
Poetry Collection
Ash'aar
Mirza Ghalib
hui muddat ki ghalib mar gaya par yaad aata hai vo har ik baat par kahna ki yun hota to kya hota...
Ahmad Faraz
is zindagi mein itni faraghat kise nasib itna na yaad aa ki tujhe bhul jaen ham...
Ahmad Faraz
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost...
Ahmad Faraz
kitne nadan hain tire bhulne vaale ki tujhe yaad karne ke liye umr paDi ho jaise...
Faiz Ahmad Faiz
kar raha tha gham-e-jahan ka hisab aaj tum yaad be-hisab aae...
Faiz Ahmad Faiz
aap ki yaad aati rahi raat bhar chandni dil dukhati rahi raat bhar...
Faiz Ahmad Faiz
aap ki yaad aati rahi raat bhar chandni dil dukhati rahi raat bhar...
Meer Taqi Meer
yaad us ki itni khuub nahin miir baaz aa nadaan phir vo ji se bhulaya na jaega...
Jaun Elia
sochta hun ki us ki yaad aakhir ab kise raat bhar jagati hai...
Jaun Elia
yaad use intihai karte hain so ham us ki burai karte hain...
Jaun Elia
ab to har baat yaad rahti hai ghaliban main kisi ko bhul gaya...
Jaun Elia
jaate jaate aap itna kaam to kije mira yaad ka saara sar-o-saman jalate jaiye...
Jaun Elia
us ne goya mujhi ko yaad rakha main bhi goya usi ko bhul gaya...
Parveen Shakir
shaam paDte hi kisi shakhs ki yaad kucha-e-jaan mein sada karti hai...
Momin Khan Momin
kabhi ham mein tum mein bhi chaah thi kabhi ham se tum se bhi raah thi kabhi ham bhi tum bhi the aashna tumhein yaad ho ki na yaad ho...
Sahir Ludhianvi
ai aarzu ke dhundle kharabo javab do phir kis ki yaad aai thi mujh ko pukarne...
Firaq Gorakhpuri
ek muddat se tiri yaad bhi aai na hamein aur ham bhuul gae hon tujhe aisa bhi nahin...
Firaq Gorakhpuri
gharaz ki kaaT diye zindagi ke din ai dost vo teri yaad mein hon ya tujhe bhulane mein...
Firaq Gorakhpuri
tabiat apni ghabrati hai jab sunsan raaton mein ham aise mein tiri yaadon ki chadar taan lete hain...
Firaq Gorakhpuri
ab yaad-e-raftagan ki bhi himmat nahin rahi yaaron ne kitni duur basai hain bastiyan...
Firaq Gorakhpuri
tu yaad aaya tire jaur-o-sitam lekin na yaad aae mohabbat mein ye masumi baDi mushkil se aati hai...
Dagh Dehlvi
mere qaabu mein na pahron dil-e-nashad aaya vo mira bhulne vala jo mujhe yaad aaya...
Josh Malihabadi
dil ki choTon ne kabhi chain se rahne na diya jab chali sard hava main ne tujhe yaad kiya...
Josh Malihabadi
naqsh-e-khayal dil se miTaya nahin hanuz be-dard main ne tujh ko bhulaya nahin hanuz...
Jigar Moradabadi
kuchh khaTakta to hai pahlu mein mire rah rah kar ab khuda jaane tiri yaad hai ya dil mera...
Jigar Moradabadi
bhulana hamara mubarak mubarak magar shart ye hai na yaad aaiyega...
Jigar Moradabadi
aai jab un ki yaad to aati chali gai har naqsh-e-ma-siva ko miTati chali gai...
Jigar Moradabadi
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin ik tiri yaad thi aisi jo bhulai na gai...
Hasrat Mohani
nahin aati to yaad un ki mahinon tak nahin aati magar jab yaad aate hain to aksar yaad aate hain...
Hasrat Mohani
khinch lena vo mira parde ka kona dafatan aur dupaTTe se tira vo munh chhupana yaad hai...
Hasrat Mohani
haqiqat khul gai hasrat tire tark-e-mohabbat ki tujhe to ab vo pahle se bhi baDh kar yaad aate hain...
Hasrat Mohani
manus ho chala tha tasalli se haal-e-dil phir tu ne yaad aa ke ba-dastur kar diya...
Hasrat Mohani
shaam ho ya ki sahar yaad unhin ki rakhni din ho ya raat hamein zikr unhin ka karna...
Hasrat Mohani
ai yaad-e-yaar dekh ki ba-vasf-e-ranj-e-hijr masrur hain tiri khalish-e-na-tavan se ham...
Wasi Shah
mujhe khabar thi ki ab lauT kar na aaunga so tujh ko yaad kiya dil pe vaar karte hue...
Rahat Indori
us ki yaad aai hai sanso zara aahista chalo dhaDkanon se bhi ibadat mein khalal paDta hai...
Qateel Shifai
thak gaya main karte karte yaad tujh ko ab tujhe main yaad aana chahta hun...
Qateel Shifai
main apne dil se nikalun khayal kis kis ka jo tu nahin to koi aur yaad aae mujhe...
Munawwar Rana
kuchh bikhri hui yaadon ke qisse bhi bahut the kuchh us ne bhi baalon ko khula chhoD diya tha...
Munawwar Rana
tumhaara naam aaya aur ham takne lage rasta tumhaari yaad aai aur khiDki khol di ham ne...
Munawwar Rana
kisi ki yaad aati hai to ye bhi yaad aata hai kahin chalne ki zid karna mira tayyar ho jaana...
Nasir Kazmi
ye haqiqat hai ki ahbab ko ham yaad hi kab the jo ab yaad nahin...
Mohsin Naqvi
vafa ki kaun si manzil pe us ne chhoDa tha ki vo to yaad hamein bhuul kar bhi aata hai...
Mohsin Naqvi
ab tak miri yaadon se miTae nahin miTta bhigi hui ik shaam ka manzar tiri aankhen...
Mohsin Naqvi
baDi umr ke baad in aankhon mein koi abr utra tiri yaadon ka mire dil ki zamin aabad hui mire gham ka nagar shadab hua...
Habib Jalib
kuchh log khayalon se chale jaaen to soen biite hue din raat na yaad aaen to soen...
Habib Jalib
jin ki yaadon se raushan hain meri aankhen dil kahta hai un ko bhi main yaad aata hun...
Ada Jafarey
abhi sahifa-e-jaan par raqam bhi kya hoga abhi to yaad bhi be-sakhta nahin aai...
Kishwar Naheed
maan bhi lun ki tiri yaad mahaz vahima hai phir bhi vo yaad hi dam-saaz rahi shaam-o-sahar...
Khwaja Meer Dard
yak-ba-yak naam le uTha mera ji mein kya us ke aa gaya hoga...
Mohammad Rafi Sauda
jis roz kisi aur pe bedaad karoge ye yaad rahe ham ko bahut yaad karoge...
Kaleem Aajiz
guzar jaenge jab din guzre aalam yaad aaenge hamein tum yaad aaoge tumhein ham yaad aaenge...
Kaleem Aajiz
mausam-e-gul hamein jab yaad aaya jitna gham bhuule the sab yaad aaya...
Muneer Niyazi
aa gai yaad shaam Dhalte hi bujh gaya dil charagh jalte hi...
Shaikh Ibrahim Zauq
tum bhuul kar bhi yaad nahin karte ho kabhi ham to tumhaari yaad mein sab kuchh bhula chuke...
Shaikh Ibrahim Zauq
rulaegi miri yaad un ko muddaton sahab karenge bazm mein mahsus jab kami meri...
Shaikh Ibrahim Zauq
tum jise yaad karo phir use kya yaad rahe na khudai ki ho parva na khuda yaad rahe...
Hafeez Jalandhari
ham hi mein thi na koi baat yaad na tum ko aa sake tum ne hamein bhula diya ham na tumhein bhula sake...
Hafeez Jalandhari
bhulai nahin ja sakengi ye baaten tumhein yaad aaenge ham yaad rakhna...
Jawad Sheikh
Kaise kisi ki yaad hamein zinda rakhti hai Ek khayal sahara kaise ho sakta hai...
Jawad Sheikh
Kar kuchh aisa ki tujhe yaad rakhun Bhool jaane ka taqaza hi sahi...
Sudarshan Faakir
Har taraf zeest ki raahon mein kadi dhoop hai dost Bas tiri yaad ke saaye hain panahon ki tarah...
Adil Mansuri
zara der baithe the tanhai mein tiri yaad aankhein dukhane lagi...
Adil Mansuri
yaadon ne use tod diya maar ke patthar aaine ki khandaq mein jo parchhain padi thi...
Ahmad Mushtaq
main bahut khush tha kadi dhoop ke sannate mein kyun tiri yaad ka baadal mire sar par aaya...
Ahmad Mushtaq
bahut udaas ho tum aur main bhi baitha hoon gaye dinon ki kamar se kamar lagaye hue...
Ahmad Nadeem Qasmi
ik safeena hai tiri yaad agar ik samundar hai miri tanhai...
Khalilur Rahman Azmi
yun jee bahal gaya hai tiri yaad se magar tera khayal tere barabar na ho saka...
Khalilur Rahman Azmi
tamam yaadein mahak rahi hain har ek ghuncha khila hua hai zamana beeta magar guman hai ki aaj hi wo juda hua hai...
Khumar Barabankavi
wahi phir mujhe yaad aane lage hain jinhein bhoolne mein zamane lage hain...
Khumar Barabankavi
suna hai hamein wo bhulane lage hain to kya ham unhein yaad aane lage hain...
Khumar Barabankavi
yaad karne pe bhi dost aaye na yaad doston ke karam yaad aate rahe...
Khumar Barabankavi
jhunjhlaye hain lajaye hain phir muskuraye hain kis ehtimam se unhein ham yaad aaye hain...
Khumar Barabankavi
guzre hue zamane ko yaad na kar kabhi 'khumar' aur jo yaad aa hi jaye ashk baha ke bhool ja...
Mohammad Alvi
haaye wo log jo dekhe bhi nahin yaad aayen to rula dete hain...
Mohammad Alvi
ab kisi ki yaad bhi aati nahin dil pe ab fikron ke pahre ho gaye...
Mohammad Alvi
ik yaad rah gayi hai magar wo bhi kam nahin ik dard rah gaya hai so rakhna sambhal kar...
Rajinder Manchanda Bani
udaas shaam ki yaadon bhari sulagti hawa hamein phir aaj purane dayar le aayi...
Rajinder Manchanda Bani
aaj kya lautte lamhaat mayassar aaye yaad tum apni inayat se badh kar aaye...
Rajinder Manchanda Bani
yaad tiri jaise ki sar-e-shaam dhund utar jaaye paani mein...
Saleem Kausar
yaad ka zakhm bhi ham tujh ko nahin de sakte dekh kis aalam-e-ghurbat mein mile hain tujh se...
Saghar Siddiqui
bhooli hui sada hoon mujhe yaad kijiye tum se kahin mila hoon mujhe yaad kijiye...
Saghar Siddiqui
naghmon ki ibtida thi kabhi mere naam se ashkon ki intiha hoon mujhe yaad kijiye...
Saqi Faruqi
ik yaad ki maujudgi sah bhi nahin sakte ye baat kisi aur se kah bhi nahin sakte...
Saqi Faruqi
wahi aankhon mein aur aankhon se poshida bhi rahta hai miri yaadon mein ik bhoola hua chehra bhi rahta hai...
Saqi Faruqi
naye charagh jala yaad ke kharabe mein watan mein raat sahi raushni manaya kar...
Ghazalein
Aap Ki Yaad Aati Rahi Raat Bhar
(Faiz Ahmad Faiz)
Sham-e-Firaq Ab Na Puchh Aai Aur Aa Ke Tal Gai
(Faiz Ahmad Faiz)
Dil Mein Ab Yun Tere Bhule Hue Gham Aate Hain
(Faiz Ahmad Faiz)
Nasib Aazmane Ke Din Aa Rahe Hain
(Faiz Ahmad Faiz)
Umr Guzregi Imtihan Mein Kya
(Jaun Elia)
Wo Jo Hum Mein Tum Mein Qarar Tha Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho
(Momin Khan Momin)
Naqsh-e-Khayal Dil Se Mitaya Nahin Hanuz
(Josh Malihabadi)
Explore more on Diwan E Sukhan