DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Time
Poetry Collection
Ash'aar
Kaifi Azmi
jo kahi gai na mujh se vo zamana kah raha hai ki fasana ban gai hai meri baat Talte Talte...
Gulzar
haath chhuTen bhi to rishte nahin chhoDa karte vaqt ki shakh se lamhe nahin toDa karte...
Mohsin Sahil
Waqt ne sab kuch badal diya Mohsin Ab na woh dost rahe na woh mehfilein rahin...
Jawad Sheikh
Ye na-guzeer hai ummid ki numu ke liye Guzarta waqt kahin tham gaya to kya hoga?...
Sudarshan Faakir
Tere jaane mein aur aane mein Ham ne sadiyon ka faasla dekha...
Naseer Turabi
Muddaton baad agar samne aaye ham tum Dhundhle dhundhle se milenge khad-o-khal aise mein...
Nadim Nadeem
Main jis dariya mein kanta dalta tha Suna hai ab wahan machhli nahin hai...
Abdul Hamid Adam
kahte hain umr-e-rafta kabhi lautti nahin jaa mai-kade se meri jawani utha ke laa...
Abdul Hamid Adam
saqi mire khuloos ki shiddat ko dekhna phir aa gaya hoon gardish-e-dauran ko taal kar...
Abdul Hamid Adam
zindagi zor hai rawani ka kya thamega bahaw paani ka...
Adil Mansuri
har aankh mein thi tootte lamhon ki tishnagi har jism pe tha waqt ka saaya pada hua...
Adil Mansuri
hudud-e-waqt se baahar ajab hisar mein hoon main ek lamha hoon sadiyon ke intezar mein hoon...
Ahmad Mushtaq
ek lamhe mein bikhar jaata hai taana-baana aur phir umr guzar jaati hai yakjai mein...
Ahmad Mushtaq
ab us ki shakl bhi mushkil se yaad aati hai wo jis ke naam se hote na the juda mire lab...
Ahmad Mushtaq
ik zamana tha ki sab ek jagah rahte the aur ab koi kahin koi kahin rahta hai...
Ahmad Mushtaq
roz milne pe bhi lagta tha ki jug beet gaye ishq mein waqt ka ehsaas nahin rahta hai...
Ahmad Mushtaq
bhool gayi wo shakl bhi aakhir kab tak yaad koi rahta hai...
Ahmad Mushtaq
wahi gulshan hai lekin waqt ki parvaz to dekho koi taair nahin pichhle baras ke aashiyanon mein...
Ahmad Mushtaq
wo waqt bhi aata hai jab aankhon mein hamari phirti hain wo shaklen jinhein dekha nahin hota...
Ahmad Nadeem Qasmi
us waqt ka hisab kya doon jo tere baghair kat gaya hai...
Ahmad Nadeem Qasmi
har lamha agar gurez-pa hai tu kyun mire dil mein bas gaya hai...
Irfan Siddiqi
bhool jaoge ki rahte the yahan doosre log kal phir aabad karenge ye makan doosre log...
Irfan Siddiqi
palat na jaen hamesha ko tere aangan se gudaz lamhon ki be-khwab aahaton se na rooth...
Khalilur Rahman Azmi
koi waqt batla ki tujh se milun miri daudti bhagti zindagi...
Khalilur Rahman Azmi
tamam yaadein mahak rahi hain har ek ghuncha khila hua hai zamana beeta magar guman hai ki aaj hi wo juda hua hai...
Khumar Barabankavi
wahi phir mujhe yaad aane lage hain jinhein bhoolne mein zamane lage hain...
Khumar Barabankavi
ye kahna tha un se mohabbat hai mujh ko ye kahne mein mujh ko zamane lage hain...
Khumar Barabankavi
ham pe guzra hai wo bhi waqt 'khumar' jab shanasa bhi ajnabi se mile...
Khumar Barabankavi
ishq mein sahme hue do aashna muddaton anjaan nazar aaye hain...
Mohammad Alvi
dekha na hoga tu ne magar intezar mein chalte hue samay ko thaharte hue bhi dekh...
Mohammad Alvi
sadiyon se kinare pe khada sookh raha hai is shahr ko dariya mein gira dena chahiye...
Mohammad Alvi
kahin kho na jaaye qayamat ka din ye achchha samay hai abhi bhej de...
Rajinder Manchanda Bani
wo ek aks ki pal bhar nazar mein thahra tha tamam umr ka ab silsila hai mere liye...
Saleem Kausar
waqt ruk ruk ke jinhein dekhta rahta hai 'saleem' ye kabhi waqt ki raftar hua karte the...
Saleem Kausar
bahut dinon mein kahin hijr-e-mah-o-saal ke baad ruka hua hai zamana tire visal ke baad...
Saleem Kausar
ab jo lahar hai pal bhar baad nahin hogi yaani ik dariya mein doosri baar utra nahin ja sakta...
Saghar Siddiqui
rang udne laga hai phoolon ka ab to aa jao! waqt nazuk hai...
Saqi Faruqi
log lamhon mein zinda rahte hain waqt akela isi sabab se hai...
Shad Azimabadi
kaun si baat nai ai dil-e-nakaam hui shaam se subah hui subah se phir shaam hui...
Shakeb Jalali
faseel-e-jism pe taaza lahoo ke chheente hain hudood-e-waqt se aage nikal gaya hai koi...
Shakeb Jalali
waqt ne ye kaha hai ruk ruk kar aaj ke dost kal ke begane...
Shakeb Jalali
waqt ki dor khuda jaane kahan se toote kis ghadi sar pe ye latki hui talwar gire...
Shariq Kaifi
sab aasan hua jaata hai mushkil waqt to ab aaya hai...
Shariq Kaifi
umr bhar kis ne bhala ghaur se dekha tha mujhe waqt kam ho to saja deti hai beemari bhi...
Yagana Changezi
jhaankne taakne ka waqt gaya ab wo ham hain na wo zamana hai...
Yagana Changezi
yaksan kabhi kisi ki na guzri zamane mein yadash-ba-khair baithe the kal aashiyane mein...
Yagana Changezi
'yaas' is charkh-e-zamana-saaz ka kya etibar mehrban hai aaj kal na-mehrban ho jayega...
Nazeer Akbarabadi
dil ki betabi nahin thaharne deti hai mujhe din kahin raat kahin subh kahin shaam kahin...
Nazeer Akbarabadi
tu jo kal aane ko kahta hai 'nazeer' tujh ko maaloom hai kal kya hoga...
Nazeer Akbarabadi
zamane ke hathon se chara nahin hai zamana hamara tumhara nahin hai...
Nazeer Akbarabadi
kal shab-e-wasl mein kya jald baji thiin ghadiyan aaj kya mar gaye ghadiyal bajane wale...
Nazeer Akbarabadi
dil ki be-tabi thaharne nahin deti mujh ko din kahin raat kahin subh kahin shaam kahin...
Nazeer Akbarabadi
dil ki betabi thaharne nahin deti hai mujhe din kahin raat kahin subh kahin shaam kahin...
Aziz Bano Darab Wafa
ahmiyat ka mujhe apni bhi to andaza hai tum gaye waqt ki manind ganwa do mujh ko...
Aziz Bano Darab Wafa
waqt hakim hai kisi roz dila hi dega dil ke sailab-zada shahr pe qabza mujh ko...
Explore more on Diwan E Sukhan