DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Pain
Poetry Collection
Ash'aar
Ahmad Faraz
teri baaten hi sunane aae dost bhi dil hi dukhane aae...
Noshi Gilani
tujh se ab aur mohabbat nahin ki ja sakti khud ko itni bhi aziyyat nahin di ja sakti...
Kaleem Aajiz
dil dard ki bhaTTi mein kai baar jale hai tab ek ghazal husn ke saanche mein Dhale hai...
Qamar Siddiqi
Dard ki shiddat se jab dil bhar jata hai Main khamoshi se andheron mein utar jata hoon...
Zeeshan Sahir
Tujhe yaad karna ab meri majboori ban gayi hai Tu woh dard hai jo ab meri doori ban gayi hai...
Mohsin Sahil
Muskurahat ke peeche ke dard ko kaun samjhega Yahan toh sabhi apne ghamon mein doobe hain...
Athar Aalam
Tere mere darmiyan jo yeh faasla thehra hai Ek tarfa mohabbat ka yeh zakhm bada gehra hai...
Meena Kumari Naaz
Ayadat hoti jaati hai ibadat hoti jaati hai Mere marne ki dekho sab ko aadat hoti jaati hai...
Meena Kumari Naaz
Hans hans ke jawan dil ke hum kyun na chunen tukde Har shakhs ki qismat mein inaam nahin hota...
Ishrat Afreen
Vo zakhm chun ke mire khaar mujh mein chhod gaya Ki us ko shauq tha be-intiha gulabon ka...
Abbas Qamar
Ashkon ko aarzoo-e-rihai hai roiye Aankhon ki ab isi mein bhalai hai roiye...
Jawad Sheikh
Tootne par koi aaye to phir aisa toote Ki jise dekh ke har dekhne wala toote...
Sudarshan Faakir
Rone walon se kaho un ka bhi rona ro lein Jin ko majboori-e-haalaat ne rone na diya...
Sudarshan Faakir
Ek do roz ka sadma ho to ro lein 'faakir' Ham ko har roz ke sadmaat ne rone na diya...
Sudarshan Faakir
Mere dukh ki koi dawa na karo Mujh ko mujh se abhi juda na karo...
Naseer Turabi
Kahne ko gham-e-hijr bada dushman-e-jaan hai Par dost bhi is dost se behtar nahin milta...
Naseer Turabi
Tujh se bichhdun to koi phuul na mahke mujh mein Dekh kya karb hai kya zaat ki sachchai hai...
Abdul Hamid Adam
takleef mit gayi magar ehsaas rah gaya khush hoon ki kuchh na kuchh to mire paas rah gaya...
Abdul Hamid Adam
lazzat-e-gham to bakhsh di us ne hausle bhi adam diye hote...
Abdul Hamid Adam
zindagi ke haseen tarkash mein kitne be-rahm teer hote hain...
Abdul Hamid Adam
aur to dil ko nahin hai koi takleef adam haan zara nabz kisi waqt thahar jaati hai...
Abdul Hamid Adam
kisi ne haal jo poochha to ho gaye khamosh tumhari baat ham apni zaban se kya kahte...
Ahmad Mushtaq
mujhe maaloom hai ahl-e-wafa par kya guzarti hai samajh kar soch kar tujh se mohabbat kar raha hoon main...
Ahmad Mushtaq
dukh ke safar pe dil ko rawana to kar diya ab saari umr haath hilate rahenge ham...
Ahmad Mushtaq
ab shughl hai yahi dil-e-eeza-pasand ka jo zakhm bhar gaya hai nishan us ka dekhna...
Ahmad Mushtaq
umr bhar dukh sahte sahte aakhir itna to hua apni chup ko dekh leta hoon sada bante hue...
Ahmad Mushtaq
jhilmilate rahe wo khwab jo poore na hue dard bedaar tapakta raha aansoo aansoo...
Ahmad Nadeem Qasmi
mar jaata hoon jab ye sochta hoon main tere baghair jee raha hoon...
Ahmad Nadeem Qasmi
ik umr ke baad muskura kar tu ne to mujhe rula diya hai...
Irfan Siddiqi
hamare dil ko ik aazar hai aisa nahin lagta ki ham daftar bhi jaate hain ghazal-khwani bhi karte hain...
Khumar Barabankavi
bhoole hain rafta rafta unhein muddaton mein ham qiston mein khud-kushi ka maza ham se poochhiye...
Khumar Barabankavi
haal-e-gham kah ke gham badha baithe teer maare the teer kha baithe...
Khumar Barabankavi
wo kanta hai jo chubh kar toot jaye mohabbat ki bas itni dastan hai...
Mohammad Alvi
roz achchhe nahin lagte aansoo khaas mauqon pe maza dete hain...
Mohammad Alvi
haaye wo log jo dekhe bhi nahin yaad aayen to rula dete hain...
Mohammad Alvi
ik yaad rah gayi hai magar wo bhi kam nahin ik dard rah gaya hai so rakhna sambhal kar...
Pirzada Qasim
gham se bahal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain dard mein dhal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain...
Saghar Siddiqui
zindagi jabr-e-musalsal ki tarah kaati hai jaane kis jurm ki payi hai saza yaad nahin...
Saghar Siddiqui
main talkhi-e-hayat se ghabra ke pee gaya gham ki siyah raat se ghabra ke pee gaya...
Saqi Faruqi
ik yaad ki maujudgi sah bhi nahin sakte ye baat kisi aur se kah bhi nahin sakte...
Shad Azimabadi
sun chuke jab haal mera le ke angdaai kaha kis ghazab ka dard zalim tere afsane mein tha...
Shakeb Jalali
jaati hai dhoop ujle paron ko samet ke zakhmon ko ab ginoonga main bistar pe let ke...
Shakeb Jalali
kya kahun deeda-e-tar ye to mira chehra hai sang kat jaate hain barish ki jahan dhaar gire...
Shakeb Jalali
kitne hi zakhm hain mire ik zakhm mein chhupe kitne hi teer aane lage ik nishan par...
Shakeb Jalali
dard ke mausam ka kya hoga asar anjaan par dosto paani kabhi rukta nahin dhalwaan par...
Yagana Changezi
dard ho to dawa bhi mumkin hai wahm ki kya dawa kare koi...
Nazeer Akbarabadi
juda kisi se kisi ka gharaz habeeb na ho ye dagh wo hai ki dushman ko bhi naseeb na ho...
Nazeer Akbarabadi
kyun nahin leta hamari tu khabar ai be-khabar kya tire aashiq hue the dard-o-gham khane ko ham...
Nazeer Akbarabadi
chamak hai dard hai kaundan padi hai hook uthti hai mire pahlu mein kyun yaaro ye dil hai ya ki phoda hai...
Nazeer Akbarabadi
suno main khoon ko apne saath le aaya hoon aur baqi chale aate hain uthte baithte lakht-e-jigar peechhe...
Ismail Merathi
gar khanda yaad aaye to seene ko chaak kar gar ghamza yaad aaye to zakhm-e-sinan utha...
Explore more on Diwan E Sukhan