DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Journey
Poetry Collection
Ash'aar
Ahmad Faraz
ham-safar chahiye hujum nahin ik musafir bhi qafila hai mujhe...
Josh Malihabadi
mile jo vaqt to ai rah-rav-e-rah-e-iksir haqir khaak se bhi saaz-baz karta ja...
Amjad Islam Amjad
us ki galiyon mein rahe gard-e-safar ki surat sang-e-manzil na bane raah ka patthar na hue...
Amjad Islam Amjad
qadam uTha hai to paanv tale zamin hi nahin safar ka ranj hamein khvahish-e-safar se hua...
Amjad Islam Amjad
itne khadshe nahin hain raston mein jis qadar khvahish-e-safar mein hain...
Amjad Islam Amjad
zakhm ye vasl ke marham se bhi shayad na bhare hijr mein aaisi mili ab ke masafat ham ko...
Tehzeeb Hafi
Ik tera hijr daimi hai mujhe Warna har cheez aarzi hai mujhe...
Meena Kumari Naaz
Na koi shahar na rasta na safar Muntashir zehn ki uljhi ghatein...
Shabnam Shakeel
Chalte rahe to kaun sa apna kamaal tha Ye wo safar tha jis mein thaharna muhaal tha...
Abbas Qamar
Khush hain to phir musafir-e-duniya nahin hain aap Is dasht mein bas aabla-pai hai roiye...
Jawad Sheikh
Apne saamaan ko baandhe hue is soch mein hoon Jo kahin ke nahin rahte wo kahan jaate hain...
Jawad Sheikh
Aao taqreeb-e-ru-numai karein Paanv mein ek aabla hua hai...
Jawad Sheikh
Kitab film safar 'ishq sha'iri 'aurat Kahan kahan na gaya khud ko dhoondta hua main...
Shakeel Azmi
Jaane kaisa rishta hai rahguzar ka qadmon se Thak ke baith jaun to rasta bulata hai...
Shakeel Azmi
Bichhad ke bhi vo mire saath hi raha har dam Safar ke baad bhi main rail mein sawar raha...
Shakeel Azmi
Phir yun hua thakan ka nasha aur badh gaya Aankhon mein doobta hua jaada laga hamein...
Sudarshan Faakir
Mere rukte hi miri saansen bhi ruk jayengi Faasle aur badha do ki main zinda hoon abhi...
Naseer Turabi
Ye rah-e-tamanna hai yahan dekh ke chalna Is raah mein sar milte hain patthar nahin milta...
Naseer Turabi
Main ik shajar ki tarah rah-guzar mein thahra hoon Thakan utaar ke tu kis taraf ravana hua...
Nadim Nadeem
Tha safar ham pe musallat so hamein chalna tha Warna ye dil to kai baar hua ruk jaate...
Abdul Hamid Adam
sirf ik qadam utha tha ghalat raah-e-shauq mein manzil tamam umr mujhe dhoondhti rahi...
Abdul Hamid Adam
main mai-kade ki raah se ho kar nikal gaya warna safar hayaat ka kaafi taweel tha...
Abdul Hamid Adam
kashti chala raha hai magar kis ada ke saath ham bhi na doob jaayen kahin na-khuda ke saath...
Abdul Hamid Adam
sab ko pahuncha ke un ki manzil par aap raste mein rah gaya hoon main...
Abdul Hamid Adam
junoon ab manzilein tai kar raha hai khirad rasta dikha kar rah gayi hai...
Adil Mansuri
kyun chalte chalte ruk gaye veeran raasto tanha hoon aaj main zara ghar tak to saath do...
Ahmad Mushtaq
paani mein aks aur kisi aasman ka hai ye naav kaun si hai ye dariya kahan ka hai...
Ahmad Mushtaq
tum aaye ho tumhein bhi aazma kar dekh leta hoon tumhaare saath bhi kuchh door jaa kar dekh leta hoon...
Ahmad Mushtaq
dukh ke safar pe dil ko rawana to kar diya ab saari umr haath hilate rahenge ham...
Ahmad Nadeem Qasmi
musafir hi musafir har taraf hain magar har shakhs tanha ja raha hai...
Ahmad Nadeem Qasmi
main kashti mein akela to nahin hoon mire hamrah dariya ja raha hai...
Ahmad Nadeem Qasmi
ajab tazad mein kaata hai zindagi ka safar labon pe pyaas thi baadal the sar pe chhaye hue...
Irfan Siddiqi
sham-e-khema koi zanjeer nahin ham-safaran jis ko jaana hai chala jaye ijazat kaisi...
Khalilur Rahman Azmi
ham ne khud apne-aap zamane ki sair ki ham ne qubool ki na kisi rahnuma ki shart...
Khalilur Rahman Azmi
bane-banaye se raston ka silsila nikla naya safar bhi bahut hi gurez-pa nikla...
Khumar Barabankavi
mire rahbar mujh ko gumrah kar de suna hai ki manzil qareeb aa gayi hai...
Khumar Barabankavi
dua ye hai na hon gumrah ham-safar mere 'khumar' main ne to apna safar tamam kiya...
Mohammad Alvi
apna ghar aane se pahle itni galiyan kyun aati hain...
Mohammad Alvi
ye kahan doston mein aa baithe ham to marne ko ghar se nikle the...
Mohammad Alvi
ik diya der se jalta hoga saath thodi si hawa le jaun...
Rajinder Manchanda Bani
na jaane kal hon kahan saath ab hawa ke hain ki ham parinde maqamat-e-gum-shuda ke hain...
Rajinder Manchanda Bani
kisi ke lautne ki jab sada suni to khula ki mere saath koi aur bhi safar mein tha...
Rajinder Manchanda Bani
silsila raushan tajassus ka udhar mera bhi hai ai sitaro us khala mein ik safar mera bhi hai...
Saleem Kausar
ye log ishq mein sachche nahin hain warna hijr na ibtida na kahin intiha mein aata hai...
Saghar Siddiqui
ai adam ke musafiro hoshiyar raah mein zindagi khadi hogi...
Shakeb Jalali
utar ke naav se bhi kab safar tamam hua zameen pe paanv dhara to zameen chalne lagi...
Shakeb Jalali
ham-safar rah gaye bahut peechhe aao kuchh der ko thahar jaayen...
Yagana Changezi
mujhe ai nakhuda aakhir kisi ko munh dikhana hai bahana kar ke tanha paar utar jaana nahin aata...
Yagana Changezi
na sang-e-meel na naqsh-e-qadam na baang-e-jaras bhatak na jaayen musafir adam ki manzil ke...
Yagana Changezi
jaras ne muzhda-e-manzil suna ke chaunkaya nikal chala tha dabe paanv karwan apna...
Nazeer Akbarabadi
vamandgan-e-raah to manzil pe ja pade ab tu bhi ai 'nazeer' yahan se qadam tarash...
Explore more on Diwan E Sukhan