DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Khuda
Poetry Collection
Ash'aar
Mirza Ghalib
na tha kuchh to khuda tha kuchh na hota to khuda hota duboya mujh ko hone ne na hota main to kya hota...
Mirza Ghalib
jab ki tujh bin nahin koi maujud phir ye hangama ai khuda kya hai...
Ahmad Faraz
bandagi ham ne chhoD di hai faraz kya karen log jab khuda ho jaen...
Faiz Ahmad Faiz
ham aise sada-dilon ki niyaz-mandi se buton ne ki hain jahan mein khudaiyan kya kya...
Meer Taqi Meer
ab to jaate hain but-kade se miir phir milenge agar khuda laaya...
Meer Taqi Meer
miir bandon se kaam kab nikla mangna hai jo kuchh khuda se maang...
Meer Taqi Meer
tujhi par kuchh ai but nahin munhasir jise ham ne puja khuda kar diya...
Allama Iqbal
buton se tujh ko umiden khuda se naumidi mujhe bata to sahi aur kafiri kya hai...
Jaun Elia
itna khaali tha andarun mera kuchh dinon to khuda raha mujh mein...
Jaun Elia
har shakhs se be-niyaz ho ja phir sab se ye kah ki main khuda hun...
Jaun Elia
mujh ko khvahish hi dhunDne ki na thi mujh mein khoya raha khuda mera...
Jaun Elia
ham yahan khud aae hain laaya nahin koi hamein aur khuda ka ham ne apne naam par rakkha hai naam...
Momin Khan Momin
chal diye su-e-haram ku-e-butan se momin jab diya ranj buton ne to khuda yaad aaya...
Dagh Dehlvi
dagh ko kaun dene vaala tha jo diya ai khuda diya tu ne...
Dagh Dehlvi
khuda ki qasam us ne khai jo aaj qasam hai khuda ki maza aa gaya...
Akbar Allahabadi
bas jaan gaya main tiri pahchan yahi hai tu dil mein to aata hai samajh mein nahin aata...
Akbar Allahabadi
khuda se maang jo kuchh mangna hai ai akbar yahi vo dar hai ki zillat nahin saval ke baad...
Akbar Allahabadi
ab to hai ishq-e-butan mein zindagani ka maza jab khuda ka samna hoga to dekha jaega...
Jigar Moradabadi
allah agar taufiq na de insan ke bas ka kaam nahin faizan-e-mohabbat aam sahi irfan-e-mohabbat aam nahin...
Jigar Moradabadi
dil hai qadmon par kisi ke sar jhuka ho ya na ho bandagi to apni fitrat hai khuda ho ya na ho...
Bashir Badr
khuda aise ehsas ka naam hai rahe samne aur dikhai na de...
Bashir Badr
khuda ham ko aisi khudai na de ki apne siva kuchh dikhai na de...
Bashir Badr
sab log apne apne khudaon ko laae the ik ham hi aise the ki hamara khuda na tha...
Amjad Islam Amjad
gaahe gaahe hi sahi amjad magar ye vaaqia yun bhi lagta hai ki duniya ka khuda koi nahin...
Kaifi Azmi
jo ik khuda nahin miltا to itna maatam kyun yahan to koi mira ham-zaban nahin milta...
Nasir Kazmi
o mere masruf khuda apni duniya dekh zara...
Ibn-e-Insha
husn sab ko khuda nahin deta har kisi ki nazar nahin hoti...
Fahmida Riaz
jo mujh mein chhupa mera gala ghonT raha hai ya vo koi iblis hai ya mera khuda hai...
Ameer Minai
kashtiyan sab ki kinare pe pahunch jaati hain nakhuda jin ka nahin un ka khuda hota hai...
Ameer Minai
jo chahiye so mangiye allah se ameer us dar pe aabru nahin jaati saval se...
Daya Shankar Naseem
laae us but ko iltija kar ke kufr TuuTa khuda khuda kar ke...
Khwaja Meer Dard
hai ghalat gar guman mein kuchh hai tujh siva bhi jahan mein kuchh hai...
Khwaja Meer Dard
jag mein aa kar idhar udhar dekha tu hi aaya nazar jidhar dekha...
Farhat Ehsas
ai khuda meri ragon mein dauD ja shakh-e-dil par ik hari patti nikal...
Shaikh Ibrahim Zauq
dekh chhoTon ko hai allah baDai deta aasman aankh ke til mein hai dikhai deta...
Ali Zaryoun
ada-e-ishq hun puuri ana ke saath hun main khud apne saath hun yaani khuda ke saath hun main...
Ali Zaryoun
Dare huon ne tumhein bhi Dara diya varna khuda to pyaar sikhata hai kuchh nahin kahta...
Hafeez Jalandhari
but-kade se chale ho kaabe ko kya milega tumhein khuda ke siva...
Shakeel Azmi
Mujh ko bikhraya gaya aur sameta bhi gaya Jaane ab kya miri mitti se khuda chahta hai...
Sudarshan Faakir
Saamne hai jo use log bura kahte hain Jis ko dekha hi nahin us ko khuda kahte hain...
Sudarshan Faakir
Teri aankhon mein ham ne kya dekha Kabhi qaatil kabhi khuda dekha...
Abdul Hamid Adam
dil khush hua hai masjid-e-viran ko dekh kar meri tarah khuda ka bhi khana kharab hai...
Abdul Hamid Adam
jin se insan ko pahunchti hai hamesha takleef un ka daawa hai ki wo asl khuda wale hain...
Abdul Hamid Adam
chhoda nahin khudi ko daude khuda ke peechhe aasan ko chhod bande mushkil ko dhoondte hain...
Abdul Hamid Adam
zaban-e-hosh se ye kufr sarzad ho nahin sakta main kaise bin piye le loon khuda ka naam ai saqi...
Ahmad Nadeem Qasmi
mujh se kafir ko tire ishq ne yun sharmaya dil tujhe dekh ke dhadka to khuda yaad aaya...
Ahmad Nadeem Qasmi
khud ko to 'nadeem' aazmaya ab mar ke khuda ko aazmaun...
Khumar Barabankavi
hairat hai tum ko dekh ke masjid mein ai 'khumar' kya baat ho gayi jo khuda yaad aa gaya...
Mohammad Alvi
mila hamein bas ek khuda aur wo bhi bedard mila...
Saqi Faruqi
wo khuda hai to miri ruuh mein iqrar kare kyun pareshan kare door ka basne wala...
Saqi Faruqi
main to khuda ke saath wafadar bhi raha ye zaat ka tilism magar tootta nahin...
Saqi Faruqi
mira akela khuda yaad aa raha hai mujhe ye sochta hua girja bula raha hai mujhe...
Ismail Merathi
tareef us khuda ki jis ne jahan banaya kaisi zameen banayi kya aasman banaya...
Ghazalein
Na Tha Kuchh To Khuda Tha Kuchh Na Hota To Khuda Hota
(Mirza Ghalib)
Asar Usko Zara Nahin Hota
(Momin Khan Momin)
Falsafi Ko Bahs Ke Andar Khuda Milta Nahin
(Akbar Allahabadi)
Explore more on Diwan E Sukhan