DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Dard

Poetry Collection

Ash'aar

Mirza Ghalib
ragon mein dauDte phirne ke ham nahin qail jab aankh hi se na Tapka to phir lahu kya hai...
Mirza Ghalib
dard minnat-kash-e-dava na hua main na achchha hua bura na hua...
Mirza Ghalib
dil-e-nadan tujhe hua kya hai aakhir is dard ki dava kya hai...
Ahmad Faraz
ye dil ka dard to umron ka rog hai pyare so jaae bhi to pahr do pahr ko jaata hai...
Faiz Ahmad Faiz
zindagi kya kisi muflis ki qaba hai jis mein har ghaDi dard ke paivand lage jaate hain...
Faiz Ahmad Faiz
kab Thahrega dard ai dil kab raat basar hogi sunte the vo aaenge sunte the sahar hogi...
Faiz Ahmad Faiz
minnat-e-chaara-saz kaun kare dard jab jaan-navaz ho jaae...
Meer Taqi Meer
jab ki pahlu se yaar uThta hai dard be-ikhtiyar uThta hai...
Jaun Elia
jaun junub-e-zard ke khaak-basar ye dukh uTha mauj-e-shimal-e-sabz-jaan aai thi aur chali gai...
Parveen Shakir
paas jab tak vo rahe dard thama rahta hai phailta jaata hai phir aankh ke kajal ki tarah...
Firaq Gorakhpuri
kahan itni khabar umr-e-mohabbat kis tarah guzri tira hi dard tha mujh ko jahan tak yaad aata hai...
Dagh Dehlvi
raha na dil mein vo bedard aur dard raha muqim kaun hua hai maqam kis ka tha...
Jigar Moradabadi
dard o gham dil ki tabiat ban gae ab yahan aaram hi aaram hai...
Amjad Islam Amjad
zindagi dard bhi dava bhi thi ham-safar bhi gurez-pa bhi thi...
Amjad Islam Amjad
dard ka rasta hai yā hai saat-e-roz-e-hisab saikaDōn logon ko roka ek bhi Thahra nahin...
Kaifi Azmi
rah gai zindagi dard ban ke dard dil mein chhupaae chhupaae...
Nida Fazli
be-naam sa ye dard Thahar kyun nahin jaata jo biit gaya hai vo guzar kyun nahin jaata...
Shakeel Badayuni
ai mohabbat tire anjaam pe rona aaya jaane kyun aaj tire naam pe rona aaya...
Shakeel Badayuni
ab to khushi ka gham hai na gham ki khushi mujhe be-his bana chuki hai bahut zindagi mujhe...
Shakeel Badayuni
mere ham-nafas mere ham-nava mujhe dost ban ke dagha na de main hun dard-e-ishq se jaan-ba-lab mujhe zindagi ki dua na de...
Shakeel Badayuni
vahi karvan vahi raaste vahi zindagi vahi marhale magar apne apne maqam par kabhi tum nahin kabhi ham nahin...
Shakeel Badayuni
jab hua zikr zamane mein mohabbat ka shakeel mujh ko apne dil-e-nakaam pe rona aaya...
Nasir Kazmi
judaiyon ke zakhm dard-e-zindagi ne bhar diye tujhe bhi niind aa gai mujhe bhi sabr aa gaya...
Mohsin Naqvi
kyun tire dard ko den tohmat-e-virani-e-dil zalzalon mein to bhare shahr ujaD jaate hain...
Gulzar
zakhm kahte hain dil ka gahna hai dard dil ka libas hota hai...
Ibn-e-Insha
dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar ho is baat se ham ko kya matlab ye kaise ho ye kyunkar ho...
Ibn-e-Insha
diida o dil ne dard ki apne baat bhi ki to kis se ki vo to dard ka baani Thahra vo kya dard baTaega...
Ibn-e-Insha
shab-e-maah mein jab bhi ye dard uTha kabhi bait kahe likhi chaand-nagar kabhi koh se ja sar phoD mare kabhi qais ko ja ustad kiya...
Altaf Hussain Hali
ik dard ho bas aaTh pahar dil mein ki jis ko takhfif dava se ho na taskin dua se...
Ameer Minai
pahlu mein mere dil ko na ai dard kar talash muddat hui gharib vatan se nikal gaya...
Ameer Minai
navak-e-naaz se mushkil hai bachana dil ka dard uTh uTh ke batata hai Thikana dil ka...
Ameer Minai
karta main dardmand tabibon se kya rujua jis ne diya tha dard baDa vo hakim tha...
Jan Nisar Akhtar
ab ye bhi nahin thiik ki har dard miTa den kuchh dard kaleje se lagane ke liye hain...
Ali Sardar Jafri
shab ke sannaTe mein ye kis ka lahu gaata hai sarhad-e-dard se ye kis ki sada aati hai...
Siraj Aurangabadi
Duub jaata hai mira ji jo kahun qissa-e-dard niind aati hai mujhi kun mire afsane mein...
Kaleem Aajiz
dard aisa hai ki ji chahe hai zinda rahiye zindagi aisa ki mar jaane ko ji chahe hai...
Kaleem Aajiz
talkhiyan is mein bahut kuchh hain maza kuchh bhi nahin zindagi dard-e-mohabbat ke siva kuchh bhi nahin...
Iftikhar Arif
ham apne raftagan ko yaad rakhna chahte hain dilon ko dard se aabad rakhna chahte hain...
Hafeez Jalandhari
doston ko bhi mile dard ki daulat ya rab mera apna hi bhala ho mujhe manzur nahin...
Hafeez Jalandhari
kyun hijr ke shikve karta hai kyun dard ke rone rota hai ab ishq kiya to sabr bhi kar is mein to yahi kuchh hota hai...
Hafeez Jalandhari
haae koi dava karo haae koi dua karo haae jigar mein dard hai haae jigar ko kya karun...
Hafeez Jalandhari
haath rakh rakh ke vo siine pe kisi ka kahna dil se dard uThta hai pahle ki jigar se pahle...
Meena Kumari Naaz
Kaanch ke tukde chune magar Tujh sa wo be-kal kya ho...
Ishrat Afreen
Vo zakhm chun ke mire khaar mujh mein chhod gaya Ki us ko shauq tha be-intiha gulabon ka...
Jawad Sheikh
Tootne par koi aaye to phir aisa toote Ki jise dekh ke har dekhne wala toote...
Shakeel Azmi
Tumhaare dard se le kar hamaare aansu tak Badi taweel kahani hai aag paani ki...
Ahmad Nadeem Qasmi
mujhe manzoor gar tark-e-taalluq hai raza teri magar tootega rishta dard ka aahista aahista...
Irfan Siddiqi
dard kaisa jo duboe na baha le jaye kya nadi jis mein rawani ho na gahrai ho...
Mohammad Alvi
ik yaad rah gayi hai magar wo bhi kam nahin ik dard rah gaya hai so rakhna sambhal kar...
Pirzada Qasim
gham se bahal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain dard mein dhal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain...
Shad Azimabadi
sun chuke jab haal mera le ke angdaai kaha kis ghazab ka dard zalim tere afsane mein tha...

Ghazalein

Explore more on Diwan E Sukhan