DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Eyes
Poetry Collection
Ash'aar
Meer Taqi Meer
miir un niim-baaz aankhon mein saari masti sharab ki si hai...
Jaun Elia
us ki chashm-e-nim-va se puchhiyo vo tire mizhgan-shumaran kya hue...
Momin Khan Momin
navak-andaz jidhar dida-e-janan honge niim-bismil kai honge kai be-jaan honge...
Dagh Dehlvi
rah gae lakhon kaleja thaam kar aankh jis jaanib tumhaari uTh gai...
Akbar Allahabadi
lagavaT bahut hai tiri aankh mein isi se to ye fitna-za ho gai...
Jigar Moradabadi
teri aankhon ka kuchh qusur nahin haan mujhi ko kharab hona tha...
Jigar Moradabadi
tire jamal ki tasvir khinch dun lekin zaban mein aankh nahin aankh mein zaban nahin...
Jigar Moradabadi
kabhi un mad-bhari aankhon se piya tha ik jaam aaj tak hosh nahin hosh nahin hosh nahin...
Jigar Moradabadi
vo chiiz kahte hain firdaus-e-gum-shuda jis ko kabhi kabhi tiri aankhon mein paai jaati hai...
Bashir Badr
kabhi kabhi to chhalak paDti hain yunhi aankhen udaas hone ka koi sabab nahin hota...
Bashir Badr
us ki aankhon ko ghaur se dekho mandiron mein charagh jalte hain...
Munawwar Rana
tumhaari aankhon ki tauhin hai zara socho tumhaara chahne vaala sharab piita hai...
Munawwar Rana
vahi hua ki main aankhon mein us ki Duub gaya vo kah raha tha bhanvar ka pata nahin chalta...
Shakeel Badayuni
buz-dili hogi charaghon ko dikhana aankhen abr chhaT jaae to suraj se milana aankhen...
Mohsin Naqvi
ab tak miri yaadon se miTae nahin miTta bhigi hui ik shaam ka manzar tiri aankhen...
Gulzar
kabhi to chaunk ke dekhe koi hamari taraf kisi ki aankh mein ham ko bhi intizar dikhe...
Ameer Minai
aankhen dikhlate ho joban to dikhao sahab vo alag baandh ke rakkha hai jo maal achchha hai...
Jan Nisar Akhtar
log kahte hain ki tu ab bhi khafa hai mujh se teri aankhon ne to kuchh aur kaha hai mujh se...
Jan Nisar Akhtar
aankhen jo uThae to mohabbat ka guman ho nazron ko jhukae to shikayat si lage hai...
Asrarul Haq Majaz
aankh se aankh jab nahin milti dil se dil ham-kalam hota hai...
Asrarul Haq Majaz
aap ki makhmur aankhon ki qasam meri mai-khvari abhi tak raaz hai...
Shahryar
aankh ki ye ek hasrat thi ki bas puuri hui aansuon mein bhiig jaane ki havas puuri hui...
Khwaja Meer Dard
jaan se ho gae badan khaali jis taraf tu ne aankh bhar dekha...
Mohammad Rafi Sauda
kaifiyyat-e-chashm us ki mujhe yaad hai sauda saghar ko mire haath se lijo ki chala main...
Mohammad Rafi Sauda
abas tu ghar basata hai miri aankhon mein ai pyaare kisi ne aaj tak dekha bhi hai paani pe ghar Thahra...
Noshi Gilani
jalae rakkhungi subh tak main tumhare raston mein apni aankhen magar kahin zabt TuuT jaae to barishen bhi shumar karna...
Noshi Gilani
dil ka kya hai dil ne kitne manzar dekhe lekin aankhen pagal ho jaati hain ek khayal se pahle...
Qamar Siddiqi
Teri raah takte takte aankhein pathra gayi hain Ab toh aa ja ke meri saansein bhi thak gayi hain...
Mohsin Sahil
Tumhari aankhon ki gehrai mein doob jaane ko jee chahta hai Magar darr hai ke kahin kinara na bhool jaun...
Meena Kumari Naaz
Hansi thami hai in aankhon mein yun nami ki tarah Chamak uthe hain andhere bhi raushni ki tarah...
Meena Kumari Naaz
Aankhon ko dekhte hi bole Bin piye koi madhosh aaya...
Meena Kumari Naaz
Dil tod diya us ne ye kah ke nigahon se Patthar se jo takraye wo jaam nahin hota...
Shakeel Azmi
Is baar us ki aankhon mein itne sawal the Main bhi sawal ban ke sawalon mein rah gaya...
Sudarshan Faakir
Teri aankhon mein ham ne kya dekha Kabhi qaatil kabhi khuda dekha...
Naseer Turabi
Bichhadte vaqt un aankhon mein thi hamari ghazal Ghazal bhi vo jo kisi ko abhi sunai na thi...
Nadim Nadeem
Kya naiyya aur kaisa khevayya chahne walo doob maro In aankhon ke dariyaon mein aaj bhanwar bharpur pade hain...
Abdul Hamid Adam
saqi mujhe sharab ki tohmat nahin pasand mujh ko tiri nigaah ka ilzaam chahiye...
Abdul Hamid Adam
ik haseen aankh ke ishare par qafile raah bhool jaate hain...
Abdul Hamid Adam
main umr bhar jawab nahin de saka 'adam' wo ik nazar mein itne sawalat kar gaye...
Abdul Hamid Adam
jab tire nain muskurate hain zeest ke ranj bhool jaate hain...
Abdul Hamid Adam
saqi zara nigaah mila kar to dekhna kambakht hosh mein to nahin aa gaya hoon main...
Abdul Hamid Adam
har dil-fareb cheez nazar ka ghubar hai aankhein haseen hon to khizan bhi bahaar hai...
Abdul Hamid Adam
aankhon se pilate raho saghar mein na daalo ab ham se koi jaam uthaya nahin jaata...
Abdul Hamid Adam
kuchh kuchh miri aankhon ka tasarruf bhi hai shamil itna to haseen tu mire gulfam nahin hai...
Abdul Hamid Adam
wo parinde jo aankh rakhte hain sab se pahle aseer hote hain...
Adil Mansuri
zara der baithe the tanhai mein tiri yaad aankhein dukhane lagi...
Adil Mansuri
soe to dil mein ek jahan jaagne laga jaage to apni aankh mein jaale the khwab ke...
Adil Mansuri
phir koi wusat-e-afaq pe saaya daale phir kisi aankh ke nuqte mein utara jaun...
Ahmad Mushtaq
wo waqt bhi aata hai jab aankhon mein hamari phirti hain wo shaklen jinhein dekha nahin hota...
Ahmad Nadeem Qasmi
dil gaya tha to ye aankhen bhi koi le jaata main faqat ek hi tasveer kahan tak dekhoon...
Irfan Siddiqi
us ki aankhein hain ki ik doobne wala insan doosre doobne wale ko pukare jaise...
Irfan Siddiqi
main kahan tak dil-e-sada ko bhatakne se bachaun aankh jab utthe gunahgar bana de mujh ko...
Irfan Siddiqi
us ki aankhon mein na jaane aks kis ka tha magar ungliyon par ek lams-e-raegan mera bhi tha...
Khalilur Rahman Azmi
zara aa ke samne baith ja miri chashm-e-tar ke qareeb aa mire aaine mein bhi dekh le kabhi apni zulf ki barhami...
Khumar Barabankavi
khuda bachaye tiri mast mast aankhon se farishta ho to bahak jaye aadmi kya hai...
Khumar Barabankavi
haaye re wo madh-bhari aankhein 'khumar' mai-kade veeran nazar aaye hain...
Mohammad Alvi
kabhi aankhein kitab mein gum hain kabhi gum hai kitab aankhon mein...
Mohammad Alvi
main khud ko marte hue dekh kar bahut khush hoon ye dar bhi hai ki miri aankh khul na jaye kahin...
Mohammad Alvi
rakhte ho agar aankh to baahar se na dekho dekho mujhe andar se bahut toot chuka hoon...
Mohammad Alvi
aankhein kholo khwab sameto jaago bhi 'alvi' pyare dekho saala din nikla...
Rajinder Manchanda Bani
wo ek aks ki pal bhar nazar mein thahra tha tamam umr ka ab silsila hai mere liye...
Saghar Siddiqui
ab na aayenge roothne wale deeda-e-ashk-baar chup ho ja...
Saqi Faruqi
wahi aankhon mein aur aankhon se poshida bhi rahta hai miri yaadon mein ik bhoola hua chehra bhi rahta hai...
Saqi Faruqi
main ne chaha tha ki ashkon ka tamasha dekhoon aur aankhon ka khazana tha ki khaali nikla...
Saqi Faruqi
main apni aankhon se apna zawal dekhta hoon main bewafa hoon magar be-khabar na jaan mujhe...
Saqi Faruqi
meri aankhon mein anokhe jurm ki tajveez thi sirf dekha tha use us ka badan maila hua...
Saqi Faruqi
meri ayyar nigahon se wafa maangta hai wo bhi mohtaj mila wo bhi sawali nikla...
Saqi Faruqi
mit jayega sehr tumhari aankhon ka apne paas bula legi duniya ik din...
Shad Azimabadi
dekha kiye wo mast nigahon se baar baar jab tak sharab aayi kai daur ho gaye...
Shad Azimabadi
nazar ki barchhiyan jo sah sake seena usi ka hai hamara aap ka jeena nahin jeena usi ka hai...
Shad Azimabadi
jab kisi ne haal poochha ro diya chashm-e-tar tu ne to mujh ko kho diya...
Shad Azimabadi
shab ko miri chashm-e-hasrat ka sab dard-e-dil un se kah jaana daantoan mein daba kar hont apna kuchh soch ke us ka rah jaana...
Shad Azimabadi
ajal bhi tal gayi dekhi gayi haalat na aankhon se shab-e-gham mein musibat si musibat ham ne jheli hai...
Yagana Changezi
deewana-vaar daud ke koi lipat na jaye aankhon mein aankhein daal ke dekha na kijiye...
Nazeer Akbarabadi
tumhare hijr mein aankhein hamari muddat se nahin ye jaantin duniya mein khwab hai kya cheez...
Nazeer Akbarabadi
aankhon mein meri subh-e-qayamat gayi jhamak seene se us pari ke jo parda ulat gaya...
Nazeer Akbarabadi
deewangi meri ke tahayyur mein shab-o-roz hai halqa-e-zanjeer se zindan hama-tan-chashm...
Ismail Merathi
kya ho gaya ise ki tujhe dekhti nahin jee chahta hai aag laga doon nazar ko main...
Ismail Merathi
jis ne chashm-e-mast-e-saqi dekh li ta qayamat us pe hushyari haraam...
Aziz Bano Darab Wafa
zindagi ke saare mausam aa ke rukhsat ho gaye meri aankhon mein kahin barsaat baqi rah gayi...
Ghazalein
Har Tarah Ke Jazbaat Ka Elan Hain Aankhen
(Sahir Ludhianvi)
Explore more on Diwan E Sukhan