DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Rebel poetry
Poetry Collection
Ash'aar
Faiz Ahmad Faiz
mai-khana salamat hai to ham surkhi-e-mai se taziin-e-dar-o-baam-e-haram karte rahenge...
Meer Taqi Meer
sakht kafir tha jin ne pahle miir mazhab-e-ishq ikhtiyar kiya...
Jaun Elia
rakho dair-o-haram ko ab muqaffal kai pagal yahan se bhaag nikle...
Jaun Elia
khira-saran-e-shauq ka koi nahin hai jumba-dar shahr mein is giroh ne kis ko khafa nahin kiya...
Firaq Gorakhpuri
aql mein yun to nahin koi kami ik zara divangi darkar hai...
Akbar Allahabadi
log kahte hain ki bad-nami se bachna chahiye kah do be is ke javani ka maza milta nahin...
Jigar Moradabadi
kidhar se barq chamakti hai dekhen ai vaiz main apna jaam uThata hun tu kitab uTha...
Nida Fazli
muTThi bhar logon ke hathon mein lakhon ki taqdiren hain juda juda hain dharm ilaqe ek si lekin zanjiren hain...
Munawwar Rana
ek aansu bhi hukumat ke liye khatra hai tum ne dekha nahin aankhon ka samundar hona...
Habib Jalib
tum se pahle vo jo ik shakhs yahan takht-nashin tha us ko bhi apne khuda hone pe itna hi yaqin tha...
Ibn-e-Insha
haq achchha par us ke liye koi aur mare to aur achchha tum bhi koi mansur ho jo suuli pe chaDho khamosh raho...
Ibn-e-Insha
jab shahr ke log na rasta den kyun ban mein na ja bisram kare divanon ki si na baat kare to aur kare divana kya...
Altaf Hussain Hali
tazir-e-jurm-e-ishq hai be-sarfa mohtasib baDhta hai aur zauq-e-gunah yaan saza ke baad...
Zehra Nigah
koi hangama sar-e-bazm uThaya jaae kuchh kiya jaae charaghon ko bujhaya jaae...
Zehra Nigah
gardish-e-mina-o-jaam dekhiye kab tak rahe ham pe taqaza-e-haram dekhiye kab tak rahe...
Kishwar Naheed
haan unhin guzre zamanon ke sada-saaz hain ham jin ke shoalon pe hava nachti dekhi ham ne...
Fahmida Riaz
kis se ab aarzu-e-vasl karen is kharabe mein koi mard kahan...
Ameer Minai
zahid umid-e-rahmat-e-haq aur hajv-e-mai pahle sharab pi ke gunah-gar bhi to ho...
Ameer Minai
ameer jaate ho but-khane ki ziyarat ko paDega raah mein kaaba salam kar lena...
Jan Nisar Akhtar
jab lagen zakhm to qatil ko dua di jaae hai yahi rasm to ye rasm uTha di jaae...
Jan Nisar Akhtar
inqilabon ki ghaDi hai har nahin haan se baDi hai...
Ali Sardar Jafri
isi liye to hai zindan ko justuju meri ki muflisi ko sikhai hai sar-kashi main ne...
Asrarul Haq Majaz
tire maathe pe ye aanchal bahut hi khuub hai lekin tu is aanchal se ik parcham bana leti to achchha tha...
Asrarul Haq Majaz
izn-e-khiram lete hue aasman se ham haT kar chale hain rahguzar-e-karvan se ham...
Siraj Aurangabadi
masjid vahshat mein paDhta hai taravih-e-junun mushaf husn-e-pari-rukhsar jis kun yaad hai...
Siraj Aurangabadi
kiya khaak aatish-e-ishq ne dil-e-be-nava-e-'siraj' kun na khatar raha na hazar raha magar ek be-khatari rahi...
Siraj Aurangabadi
hakim-e-ishq ne jab aql ki taqsir suni ho ghazab hukm diya des nikala karne...
Siraj Aurangabadi
jab sin laaya ishq ne fauj-e-junun aql ke lashkar mein bhaga bhaag hai...
Siraj Aurangabadi
mustaid hun tire zulfon ki siyahi le kar safha-e-nama-e-amal kun kaala karne...
Siraj Aurangabadi
nahin bakhshi hai kaifiyyat nasihat khushk zahid ki jala dev aatish-e-sahba sin is kaDbi ke pole kun...
Shahryar
umr ka lamba hissa kar ke danai ke naam ham bhi ab ye soch rahe hain pagal ho jaaen...
Shahryar
jo chahti duniya hai vo mujh se nahin hoga samjhauta koi khvab ke badle nahin hoga...
Shahryar
ya main sochun kuchh bhi na us ke baare mein ya aisa ho duniya aur badal jaae...
Khwaja Meer Dard
band ahkam-e-aql mein rahna ye bhi ik naua ki himaqat hai...
Mohammad Rafi Sauda
gar ho sharab o khalvat o mahbub-e-khub-ru zahid qasam hai tujh ko jo tu ho to kya kare...
Mohammad Rafi Sauda
saaqi hamari tauba tujh par hai kyun gavara minnat nahin to zalim targhib ya ishara...
Iftikhar Arif
ab bhi tauhin-e-itaat nahin hogi ham se dil nahin hoga to baiat nahin hogi ham se...
Iftikhar Arif
vafa ke baab mein kar-e-sukhan tamam hua miri zamin pe ik maarka lahu ka bhi ho...
Farhat Ehsas
muazzin ne azaan di aur vo but nikla khuda ho kar khuda ki sab namazon ke qaza hone ka vaqt aaya...
Farhat Ehsas
allah rasul vaala iman aap rakhiye ham to hain iid vaale ramzan aap rakhiye...
Muneer Niyazi
milti nahin panah hamein jis zamin par ik hashr us zamin pe uTha dena chahiye...
Zafar Iqbal
lagata phir raha hun aashiqon par kufr ke fatve 'zafar' vaaiz hun main aur khidmat-e-islam karta hun...
Zafar Iqbal
khairat ka mujhe koi lalach nahin zafar main is gali mein sirf sada karne aaya hun...
Zafar Iqbal
khinch laai hai yahan lazzat-e-aazar mujhe jahan paani na mile aaj vahan maar mujhe...
Zafar Iqbal
kufr se ye jo munavvar miri peshani hai zahir is se bhi mira jazba-e-iimani hai...
Arzoo Lakhnavi
aarzu jaam lo jhijak kaisi pi lo aur dahshat-e-gunah gai...
Arzoo Lakhnavi
naam mansur ka qismat ne uchhala varna hai yahan kaun sa haq-go ki sar-e-dar nahin...
Shaikh Ibrahim Zauq
zahid sharab piine se kafir hua main kyun kya deDh chullu paani mein iman bah gaya...
Shaikh Ibrahim Zauq
rind-e-kharab-haal ko zahid na chheD tu tujh ko parai kya paDi apni nabeD tu...
Majrooh Sultanpuri
dekh zindan se pare rang-e-chaman josh-e-bahaar raqs karna hai to phir paanv ki zanjir na dekh...
Majrooh Sultanpuri
rok sakta hamein zindan-e-bala kya 'majruh' ham to aavaz hain divar se chhan jaate hain...
Ali Zaryoun
laDne ke liye hai na nasihat ke liye hai jis 'umr mein tum ho vo mohabbat ke liye hai...
Hafeez Jalandhari
jis ne is daur ke insan kiye hain paida vahi mera bhi khuda ho mujhe manzur nahin...
Hafeez Jalandhari
haan main to liye phirta hun ik sajda-e-betab un se bhi to puchho vo khuda hain ki nahin hain...
Explore more on Diwan E Sukhan