DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Dua

Poetry Collection

Ash'aar

Mirza Ghalib
ya-rab vo na samjhe hain na samjhenge miri baat de aur dil un ko jo na de mujh ko zaban aur...
Mirza Ghalib
tum salamat raho hazar baras har baras ke hon din pachas hazar...
Mirza Ghalib
jaan tum par nisar karta hun main nahin jaanta dua kya hai...
Ahmad Faraz
main kya karun mire qatil na chahne par bhi tire liye mire dil se dua nikalti hai...
Faiz Ahmad Faiz
jo nafas tha khaar-e-gulu bana jo uThe the haath lahu hue vo nashat-e-aah-e-sahar gai vo vaqar-e-dast-e-dua gaya...
Allama Iqbal
haya nahin hai zamane ki aankh mein baaqi khuda kare ki javani tiri rahe be-dagh...
Parveen Shakir
meri talab tha ek shakhs vo jo nahin mila to phir haath dua se yun gira bhuul gaya saval bhi...
Parveen Shakir
abr barse to inayat us ki shaakh to sirf dua karti hai...
Momin Khan Momin
manga karenge ab se dua hijr-e-yaar ki aakhir to dushmani hai asar ko dua ke saath...
Dagh Dehlvi
hazar baar jo manga karo to kya hasil dua vahi hai jo dil se kabhi nikalti hai...
Hasrat Mohani
bhuul hi jaen ham ko ye to na ho log mere liye dua na karen...
Bashir Badr
vo baDa rahim o karim hai mujhe ye sifat bhi ata kare tujhe bhulne ki dua karun to miri dua mein asar na ho...
Munawwar Rana
abhi zinda hai maan meri mujhe kuchh bhi nahin hoga main ghar se jab nikalta hun dua bhi saath chalti hai...
Munawwar Rana
jab bhi kashti miri sailab mein aa jaati hai maan dua karti hui khvab mein aa jaati hai...
Ibn-e-Insha
gham-e-ishq mein kaari dava na dua ye hai rog kaThin ye hai dard bura ham karte jo apne se ho sakta kabhi ham se bhi kuchh na kaha tum ne...
Altaf Hussain Hali
hoti nahin qubul dua tark-e-ishq ki dil chahta na ho to zaban mein asar kahan...
Ameer Minai
maang lun tujh se tujhi ko ki sabhi kuchh mil jaae sau savalon se yahi ek saval achchha hai...
Jan Nisar Akhtar
jab lagen zakhm to qatil ko dua di jaae hai yahi rasm to ye rasm uTha di jaae...
Iftikhar Arif
main zindagi ki dua mangne laga hun bahut jo ho sake to duaon ko be-asar kar de...
Iftikhar Arif
koi to phuul khilae dua ke lahje mein ajab tarah ki ghuTan hai hava ke lahje mein...
Iftikhar Arif
buland hathon mein zanjir Daal dete hain ajiib rasm chali hai dua na maange koi...
Iftikhar Arif
ye moajaza bhi kisi ki dua ka lagta hai ye shahr ab bhi usi be-vafa ka lagta hai...
Iftikhar Arif
ye bastiyan hain ki maqtal dua kiye jaaen dua ke din hain musalsal dua kiye jaaen...
Shaikh Ibrahim Zauq
maraz-e-ishq jise ho use kya yaad rahe na dava yaad rahe aur na dua yaad rahe...
Hafeez Jalandhari
koi chaara nahin dua ke siva koi sunta nahin khuda ke siva...
Hafeez Jalandhari
vo sarkhushi de ki zindagi ko shabab se bahara-yab kar de mire khayalon mein rang bhar de mire lahu ko sharab kar de...
Ishrat Afreen
Tera naam likhti hain ungliyan khalaon mein Ye bhi ik dua hogi vasl ki duaon mein...
Ahmad Nadeem Qasmi
aakhir dua karein bhi to kis muddaa ke saath kaise zameen ki baat kahein aasman se hum...
Irfan Siddiqi
khuda kare saf-e-sardadgan na ho khaali jo main girun to koi doosra nikal aaye...
Khumar Barabankavi
dua ye hai na hon gumrah ham-safar mere 'khumar' main ne to apna safar tamam kiya...
Saghar Siddiqui
ab kahan aisi tabiat wale chot kha kar jo dua karte the...
Saghar Siddiqui
hai dua yaad magar harf-e-dua yaad nahin mere naghmat ko andaz-e-nawa yaad nahin...
Yagana Changezi
maut maangi thi khudai to nahin maangi thi le dua kar chuke ab tark-e-dua karte hain...
Explore more on Diwan E Sukhan