DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Memories
Poetry Collection
Ash'aar
Mirza Ghalib
ji dhunDta hai phir vahi fursat ki raat din baiThe rahen tasavvur-e-janan kiye hue...
Mirza Ghalib
hui muddat ki ghalib mar gaya par yaad aata hai vo har ik baat par kahna ki yun hota to kya hota...
Mirza Ghalib
kalkatte ka jo zikr kiya tu ne ham-nashin ik tiir mere siine mein maara ki haae haae...
Ahmad Faraz
aaj ik aur baras biit gaya us ke baghair jis ke hote hue hote the zamane mere...
Ahmad Faraz
chala tha zikr zamane ki bevafai ka so aa gaya hai tumhaara khayal vaise hi...
Ahmad Faraz
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost...
Faiz Ahmad Faiz
kar raha tha gham-e-jahan ka hisab aaj tum yaad be-hisab aae...
Faiz Ahmad Faiz
phir nazar mein phuul mahke dil mein phir shamen jalin phir tasavvur ne liya us bazm mein jaane ka naam...
Jaun Elia
kya sitam hai ki ab tiri surat ghaur karne pe yaad aati hai...
Parveen Shakir
yahi vo din the jab ik dusre ko paaya tha hamari saal-girah Thiik ab ke maah mein hai...
Momin Khan Momin
vo jo ham mein tum mein qarar tha tumhein yaad ho ki na yaad ho vahi yaani vaada nibah ka tumhein yaad ho ki na yaad ho...
Firaq Gorakhpuri
shaam bhi thi dhuan dhuan husn bhi tha udaas udaas dil ko kai kahaniyan yaad si aa ke rah gain...
Dagh Dehlvi
vo zamana bhi tumhein yaad hai tum kahte the dost duniya mein nahin dagh se behtar apna...
Jigar Moradabadi
aaj na jaane raaz ye kya hai hijr ki raat aur itni raushan...
Wasi Shah
jaise ho umr bhar ka asasa gharib ka kuchh is tarah se main ne sambhale tumhare khat...
Wasi Shah
ham jahan chaae piine jaate the kya vahan ab bhi aaya karte the...
Munawwar Rana
ab aap ki marzi hai sambhalen na sambhalen khushbu ki tarah aap ke rumal mein ham hain...
Nasir Kazmi
tere haath ki chaae to pii thi dil ka ranj to dil mein raha tha...
Zehra Nigah
ab bhi kuchh log sunate hain sunae hue sher baaten ab bhi tiri zehnon mein basi lagti hain...
Jan Nisar Akhtar
ye ilm ka sauda ye risale ye kitaben ik shakhs ki yaadon ko bhulane ke liye hain...
Noshi Gilani
us shahr mein kitne chehre the kuchh yaad nahin sab bhuul gae ik shakhs kitabon jaisa tha vo shakhs zabani yaad hua...
Kaleem Aajiz
guzar jaenge jab din guzre aalam yaad aaenge hamein tum yaad aaoge tumhein ham yaad aaenge...
Meena Kumari Naaz
An-kahi an-suni si kuchh baatein Soone din aur ye sunsaan raatein...
Abbas Qamar
Mere kamre mein udasi hai qayamat ki magar Ek tasveer purani si hansa karti hai...
Jawad Sheikh
Ab mira dhyan kahin aur chala jaata hai Ab koi film mukammal nahin dekhi jaati...
Jawad Sheikh
Kaise kisi ki yaad hamein zinda rakhti hai Ek khayal sahara kaise ho sakta hai...
Shakeel Azmi
Bichhad ke bhi vo mire saath hi raha har dam Safar ke baad bhi main rail mein sawar raha...
Sudarshan Faakir
Zikr jab hoga mohabbat mein tabahi ka kahin Yaad ham aayenge duniya ko hawalo ki tarah...
Sudarshan Faakir
Har taraf zeest ki raahon mein kadi dhoop hai dost Bas tiri yaad ke saaye hain panahon ki tarah...
Naseer Turabi
Muddaton baad agar samne aaye ham tum Dhundhle dhundhle se milenge khad-o-khal aise mein...
Nadim Nadeem
Us ne do lafz mein jo baatein kahin thi mujh se Us ko main sochne baithun to zamane lag jaayen...
Nadim Nadeem
Ai mire dost mire saath tiri yaadon ki Ret itni hai hua jaata hai sahra chehra...
Abdul Hamid Adam
zindagi ke udaas lamhon mein bewafa dost yaad aate hain...
Abdul Hamid Adam
pahle badi raghbat thi tire naam se mujh ko ab sun ke tira naam main kuchh soch raha hoon...
Abdul Hamid Adam
wo ahd-e-jawani wo kharabat ka aalam naghmat mein doobi hui barsaat ka aalam...
Abdul Hamid Adam
jo aksar baar-war hone se pahle toot jaate the wahi khasta shikasta ahd-o-paiman yaad aate hain...
Adil Mansuri
kis tarah jama kijiye ab apne aap ko kaghaz bikhar rahe hain purani kitab ke...
Adil Mansuri
jo chup-chap rahti thi deewar par wo tasweer baatein banane lagi...
Adil Mansuri
zara der baithe the tanhai mein tiri yaad aankhein dukhane lagi...
Adil Mansuri
yaadon ne use tod diya maar ke patthar aaine ki khandaq mein jo parchhain padi thi...
Ahmad Mushtaq
naye deewanon ko dekhen to khushi hoti hai hum bhi aise hi the jab aaye the veerane mein...
Ahmad Mushtaq
ab us ki shakl bhi mushkil se yaad aati hai wo jis ke naam se hote na the juda mire lab...
Ahmad Mushtaq
main bahut khush tha kadi dhoop ke sannate mein kyun tiri yaad ka baadal mire sar par aaya...
Ahmad Mushtaq
wo waqt bhi aata hai jab aankhon mein hamari phirti hain wo shaklen jinhein dekha nahin hota...
Ahmad Mushtaq
jahan daale the us ne dhoop mein kapde sukhane ko tapakti hain abhi tak rassiyan aahista aahista...
Ahmad Mushtaq
chhat se kuchh qahqahe abhi tak jaalon ki tarah latak rahe hain...
Ahmad Nadeem Qasmi
dil gaya tha to ye aankhen bhi koi le jaata main faqat ek hi tasveer kahan tak dekhoon...
Ahmad Nadeem Qasmi
shaam ko subh-e-chaman yaad aayi kis ki khushbu-e-badan yaad aayi...
Khalilur Rahman Azmi
yun jee bahal gaya hai tiri yaad se magar tera khayal tere barabar na ho saka...
Khumar Barabankavi
wahi phir mujhe yaad aane lage hain jinhein bhoolne mein zamane lage hain...
Khumar Barabankavi
yaad karne pe bhi dost aaye na yaad doston ke karam yaad aate rahe...
Khumar Barabankavi
jhunjhlaye hain lajaye hain phir muskuraye hain kis ehtimam se unhein ham yaad aaye hain...
Mohammad Alvi
kuchh to is dil ko saza di jaye us ki tasweer hata di jaye...
Mohammad Alvi
us se mile zamana hua lekin aaj bhi dil se dua nikalti hai khush ho jahan bhi ho...
Aziz Bano Darab Wafa
main kisi janm ki yaadon pe pada parda hoon koi ik lamhe ko ik dam se uthata hai mujhe...
Explore more on Diwan E Sukhan